siyam tija

SAWAL:
Ye teeje ka fateha kyon hota hai, aur is fatehe ke khaane pe kiska haq hai, kya isme rishtedaaron ko dawat dena jayez hai hazrat rehnumaai farmaayiye

          JAWAB
Teeja yani intqal ke teesre din maiyyat ke eesal e sawab ke liye quran khawni karna aur faqeero ko khana khilana wagairah ye sab kaam shar'an jaayez o mustahsan hai aur ye apne marhoomeen  ko faaidah pahunchane ka bihtareen zarya bhi hai

 magar is khane ki dawat na ki jaye keh is moqa par dawat jaayez nahin

Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi رضى الله تعالى عنه irshad farmate hain

Maiyyat ke yahan jo log jama hote hain aur unki dawat ki jaati hai us khane ki to har tarah mumana't hai aur bagair dawat ke jumerato 40 ven 6 maahi barsi men jo bhaji ki tarah agniya ko baanta jaata hai oh bhi agarche be ma'na hai magar uska khana mana nahin bihtar ye hai keh gani na khaye aur faqeer ko to kuchh muzaiqah nahin keh wahi uske mustahiq hain
(Fatawa razviyyah  jild  4 safah 177)

DOSRI JAGAJ IRSHAD FARMATE HAIN

Ahl e maiyyat ki taraf se khane ki ziyafat tayyar karni mana hai keh shara ne ziyafat khushi men rakhi hai na keh gami men aur ye bid'at e shanee'ah hai

(Fatawa razviyyah  jild  4 safah 139)

Lihaza agar teeje ke khane ki dawat ki gayi to ye na jaayez hai aisi dawat men shirkat na jaayez aur agar dawat nahin di gayi bagair dawat ke khana tayyar kiya gaya eesaal e sawab ke liye to agar oh khana gani bhi kha le to gunahgaar na hoga magar gani ko bachna chahiye

Aur agar kisi buzurg ke teesre din ki ya salana fatiha wagairah ho yani unke name ki niyaz ki jaaye to oh khana ameer o gareeb sab ke liye khana  jaayez hai

Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi رضى الله تعالى عنه irshad farmate hain

Niyaz e auliya e kiram ta'aam e maut nahin oh tabrruk hai faqeer o gani sab len

📚 (Fatawa razviyyah  jild  4 safah 225 )

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites