↪PART :- 01 💥MAYYAT KA BAYAAN💥


     〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🚦Is HAQIQAT ka inkar Koi Nahi Kar Sakta Hai Ki Jo Paida Hua Use Eik Din Maut Ka Maza Chakhna Hai....

🚦Dunya Aur Uski Lazzaton Ko Chhod Kar Hamesha Hamesh ke Ghar jana Hai,
Momin ko Hamesha Us safar Ke Liye Tayyar Rehna Chahiye.....

🚦Aur Jab Momin ke Peshe Nazar Har WAQT Maut Aur Akhirat Ki zindagi Hogi To Uska Dil Dunya Ki Ranginiyon Me Nahi Lagega.....

🚦Dunya Darul Amal Hai Akhirat Darul Jaza,,
Ye eik kheti Hain Jahan Faslen Boni Hai, Aur Jo Boya use Akhirat Me Katna Hai,
Hamara Rab irshad Farmata Hai,

✅QURAN:-
                 
Woh (Allah) Jisne Maut Aur Zindagi Paida
Ki Taki Tumhari Janch (imtehan) Ho,
Tum Me Kis Ka Kaam Ziyadah Achcha Hai....

📓{Para-29, R-1, sure mulk ayat-2}

🚦Jab Se Nelgun Asman Ka Shamyana Bana Aur Farshe Geeti Sajai Gai Na Jane Kaise Kaise Log Aye Kitne Shahenshah Kaise Kaise Badshah Kaise Kaise Taqatwar aaye Magar Sab Ne Maut Ka Maza Chakha Yahan Dawam (hameshgi) Kisi Ko Naseeb Nahi Hui,,,,

Hamesha Baqi Rehne Wali Bas Eik Hi Zaat Hai "ALLAH" Aur Jo Kuch Uske Siwa Hai Sab Ko Maut Ka Maza Chakhna Hi Hai.......

🚦Huzoor صلى الله عليه وسلم Ka Irshad Hai,

☑HADEES:

🚦Dunya Me Aise Raho Jaise Musafir Balki Raahgeer...

📚{صحيح البخاري، كتاب الرقائق، باب قول النبي صلى الله عليه وسلم، كن في الدنيا كأنك غريب أو عابر سبيل، الحديث-6416}

 ☑"TASHRIHE HADEES"

🚦Admi Jab safar Pe Jata Hai To Sath Me Usi Qadr Saman Leta hai Jisse Raste Me Uthane Me Pareshani Na Ho,
Aur musafir Raston Ke Tamasho Aur Ajayeb Me Ulajh Kar Apna WAQT Zaya nahi karte Chunki Usne Manzil Ko Jald Se Pahochna Hai,,,,,

Hum sab Yahan Musafir Hain aur hamri Asal Manzil Hai Akhirat Hum Sab Ko Usi Manzil Ka Khayal Har WAQT Hona Chahiye,,

☑HADEES:

🚦Kisi Musibat Ke Padne Par Maut Ki Tamanna Na Kare Isse Mana Farmaya Gaya,
Aur karni Hi Pade To Yun Kahe, ILAHI Mujh Zindah Rakh Jab Tak Zindagi Me Mere Liye Khair Ho,,,

Aur Mujhe Maut De Jab Mere Liye Maut Hi Behtar Ho...

📚{صحيح البخاري، كتاب المر ضى، الحديث-5671}

🚦Rooh Qabz Hone Ka WAQT Bada Sakht Hai,
Isi Par Sare Aamaal Ka Daro Madar hai,
Balki Iman par Marna Hi Akhirat Ki Tamam Kamyabiyon Ka Zamin Hai,

Aur Us WAQT Shaitan iman Lene Ki Fikr Me Rehta Hai, jise Allah Pak Apne Fazl se Uske Makr Se Bachaye, aur Jo iman Par Mare Wahi Murad Ko Paohcha,,,,

🚦Huzoor ka irshade Aali Hai, jiska Aakhri Kalma LA iLAHA IL'LALLAH Hoga wo Jannat Me Dakhil Hoga....

📚{Sunane Abi Dawood}

              MASA'IL      
   
☑MAS'ALA:

🚦JAB Maut Ka WAQT Qareeb aaye Aur Wo Nishaniyan Paai Jayen To Sunnat Ye Hai ki Dayhni Karwat Par Lita kar Qibla Ki Taraf Muh Kare...

Aur Ye Bhi Jayez Hai Ki Chit Lita Kar Qibla Ki Taraf Paon Kare....

🚦Yun Bhi Qibla Ko Muh Ho Jayega...
Magar is Surat Me Sar Ko Uncha Rakhe,

Aur Agar Qibla Ko Muh Karna Dushwar Ho To Jis Halat Me Hai Usi Pe Chhod Den....

📚{الدرالمختار، كتاب الصلاة، باب صلاة الجنازة، جلد -3،  صفحہ-91}

 ☑MAS'ALA:

🚦Jaan Jate WAQT Jab Tak Rooh Gale Ko Na Aai marne Wale Ke Pas Kalma Baland Awaz Se Padhte Rahen,
Magar Use Hukm Na Den Padhne Ka, shiddat taklif Se Maz'allah Kahi wo Kalimae Kufr Hi Na Bak De....

📚{الجو هرة النيرة، صفحہ-130}

☑MAS'ALA:

🚦Jab Marne Wale Ne Kalma Padh Liya To ab Talqeen Mauqoof Kar De....
Haan Kalma Padh Kar Phir Koi Baat Ki To Phir Talqeen Kare Taki Uska Akhri Kalam,
Kalimae Shahadat Ho,,

Talqeen Karne wala koi Nek Shakhs ho aisa Na Ho jise Uske Marne Ki Khushi Ho,
Aise WAQT Nek Logo ka Pas Hona Achchi Baat Hai,
Aur us WAQT wahan Sure Yaseen Padhna aur khushbu hona Mustahab Hai,
Khushbu ke Liye Loban Ya Aggar Batti Sulga Den...

📚{الفتاوى الهندية، كتاب الصلاة، الباب الحادى والعشرون في الجنائز، الفصل اﻷول، جلد-1، صفحہ-157}

🔰To Be Continue......

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites