💫 *_TAKBIR E TAHREEMA MEIN SAHW_*💫
📌 *TAKBIR E TAHREEMA KE BA’D SHAK HUA*
_Mas’Ala:
*Kisi ne namaz shuru ki aur shak hua ki takbir tahreema “ALLAHU Akbar” kaha hai ya nahin phir yaad aaya ki keh liya hai aur sochne mein ek rukn 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdar takhir ho gayi to us par sajda e sahw wajib hai warna nahin.*_
📗 *(Fat’hul Qadeer pg. 438, J 1)*
💫 *_QIRA’AT SHURU KAR DI PHIR TAKBIR E TAHREEMA MEIN SHAK HUA_*💫
_Mas’Ala:
*Kisi ne takbir tahreema keh kar namaz shuru ki, aur qira’at bhi kar li phir shak hua ki takbir e tahreema kahi hai ya nahin isliye dobara takbir kahi aur qira’at ka i’ada kiya phir khayal aaya ki takbir e tahreema shuru mein keh li thi, to is soorat mein is par sajda e sahw wajib hai.*_
📕 *(Mabsoot Al Sarkhasi, pg. 232, J 1)*
💫 *_TAKBIR E Tahreema KEH KAR HATH NAHIN BAANDHA CHHOD DIYA_*💫
_Mas’Ala:
*Agar kisi ne takbir e tahreema keh kar naaf ke niche hath baandhne ke bajaye chhod diya phir ba’d mein yaad aaya aur hath naaf ke niche baandh liya, to is par sajda e sahw nahin.*_
_Mas’Ala:
*Takbir e tahreema ke waqt rafa’ yadain (donon hathon ko kaanon tak uthana) bhool gaya aur kaanon tak hath uthaye baghair baandh liya, to is par sajda e sahw nahin.*_
📗 *(Aalamgiri pg. 65, J 1)*
💫 *_SANA’, TA’UZ, AUR TASMIYA MEIN BHOOL_*
📌 *SANA’, TA’UZ, TASMIYA, BHOOL GAYA YA AWAZ SE YA KHILAF E TARTEEB PADHA*
_Mas’Ala: *Sana’ ya’ni “Sub’hanaka Allahumma wa bihamdika..” aakhir tak, ta’uz ya’ni “A’uzubillahi minash-shaitaanir- rajeem”, tasmiya ya’ni “Bismillahir-rahmanir- raheem” ko takbir e tahreema ke ba’d hath baandh kar aahista padhna sunnat hai jab ki imam ho ya tanha namaz padh raha ho, aur agar imam ke peeche namaz padhe to sirf sana’ padh kar khaamosh ho jaye, A’uzubillah aur Bismillah na padhe.*_
*(Aammah Kutub)*
_Mas’Ala:
*Sana’, ta’uz aur tasmiya mein se koi ek ya sab bhool kar chhut jaye to na sajda e sahw hai na namaz mein karahat aayegi, albatta jaan-bujh kar chhodna makruh hai.*_
📗 *(Shaami; Bahaar e Shari’at pg. 54, J 4)*
_Mas’Ala:
*Sana’ ta’uz aur tasmiya tarteeb se padhna sunnat hai ya’ni pehle “Sub’hanaka Allahumma”, phir “Auzubillah”, iske ba’d “Bismillah” padhna chahiye, magar kisi ne khilaf e tarteeb padha to sajda e sahw nahin magar qasdan aisa karna bura hai.*_
*(Aammah Kutub)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 25 26.*

No comments:
Post a Comment