💫 *_FAIDA E JALILAH_*💫
*_A’la Hazrat Imam Ahmad Raza Alaihir Rahmatu war-ridwaan Fatawa e Razaviyya Jild 3, pg. 53 par farmate hain ki har ra’kat mein “Alhamdu shareef” se pehle aur surah milane ke waqt shuru surah par “Bismillah shareef” aashista padhna mustahab aur mustah’san hai. Khwah sirri namaz ho ya jehri, sab aimma e kiraam is ko achha aur behtar jaante hain. Is mein kisi ka ikhtelaaf nahin, ikhtelaaf sirf sunnat hone mein hai ki ibteda e surah fatiha par jis tarah Bismillah shareef padhna sunnat hai isi tarah ibteda e surah par bhi sunnat hai ya mustahab, Sayyiduna Imam Muhammad Radi ALLAHU Ta’ala Anhu ke nazdeek sirri namazon mein sunnat hai._*
_*Muheet, Muzmiraat, Inaya, aur Mustasfa wagairha mein isi ki tasreeh farmayi aur mazhab e Imam e Azam Abu Haneefa Radi ALLAHU Ta’ala Anhu mein sirf iske sunnat hone ki nafi farmayi hai, aur isi par fatwa hai, aur jahan jahan Mutawween mein “ La ya’ti wala yasma” farmaya gaya hai wahan murad sirf nafi istenan (sunnat ki nafi) hai, bahar-haal us ki khoobi o husn par humare sab aimma ka ittefaq hai.*_
*(Mulkhisan)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 26.*

No comments:
Post a Comment