*【POST 21】*

💫 *_QIRA’AT MEIN BHOOL PAR SAJDA E SAHW_*💫

✨ *_TANBEEH_* ✨

🕋 *_Namaz mein jo qira’at wajib hai iske 2 hisse hain, ek hissa puri surah fatiha padhna, ya’ni “Alhamd” se “walad-daaleen” tak ek ek lafz ka padhna wajib hai, dusra hissa surah ka padhna hai, ya’ni surah fatiha padhne ke ba’d surah milana, ya’ni kisi surah mein se itna padhna ke 3 chhoti aayaton ke barabar ho jaye. Fuqaha e Kiraam Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen ne 3 chhoti aayaton ki miqdar “summa nazara summa ‘abasa wa yasara summa adbara
wastakbara” se mut’ayyan farmayi hai._*

📗 *(Sagheeri pg. 150)*

✳ *_In teenon aayaton mein kul 27 huruf hain, aur agar teenon “summa” ki “meem” jo mushaddad hai isko 2 harf maanein to kul 30 huruf huye jaisa ki Allama Shaami ne farmaya hai:_*

✴ *_“Aye mislu summa nazar…. alkh. Wahiya salasuna harfan falao qara’a aayatan taweelatan qadra salaseena harfan yakunu qad aati biqadri salasi aayaatin.”_*

✳ *_Ya’ni “summa nazar” akhir tak ye kul 30 huruf hain, to agar kisi ne ek aayat itni lambi jo 30 huruf ke barabar hai padh li to ye maan liya jayega ki us ne 3 aayaton ki miqdar padh liya._*

✴ *_Lihaza “Alhamd shareef” ke ba’d kisi surah mein se itna padh liya jo 27 ya 30 huruf par mushtamil hai to wajib ada ho gaya, iski namaz ada ho jayegi._*

✳ _Mas’Ala:
*Surah fatiha ya zam e surah farz namazon ki pehli 2 rak’aton mein, yunhi nafl, sunnat aur wajib namazon ki har rak’at mein wajib hai aur mutlaqan qira’at farz hai. Imam aur tanha namaz padhne wale (munfarid) par qira’at karna wajib aur farz hai. Imam ki iqteda mein namaz padhne walon par nahin hai kyunki imam ki qira’at muqtadi ke liye kaafi hai.*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 27.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites