*【POST 24】*

💫 *_ALHAMD BHOOL GAYA SURAH SHURU KAR DI_*💫

💎 _Mas’Ala:
*Farz ki pehli ya dusri ra’kat mein, nafl, sunnat aur witr ki kisi rak’at mein Alhamd padhna bhool gaya aur surah shuru kar di aur ek chhoti aayat ki miqdar padh liya. Ab yaad aaya to us ko chhod de aur Alhamd padh kar surah milaye sajda e sahw ki zarurat nahin namaz ho gayi.*_

📚 *(Aalamgiri, pg. 65, J 1)*

🌀 *_Hazrat e Imam Abu Lais Samarqandi Alaihir Rahma ke nazdeek aayat ki qaid nahin, agar ek lafz bhi padh liya to sajda e sahw wajib._*

💎 _Mas’Ala:
*Agar puri surah padh lene ke ba’d yaad aaya, ya ruku mein ya ruku se sar uthane ke bad yaad aaya ki Alhamd padhna bhool gaya hai to Alhamd padhe phir dobara ruku kare aur ba’d mein sajda e sahw kare.*_

📚 *(Aalamgiri, pg. 65, J 1)*

🌀 *_Agar dobara ruku nahin kiya to namaz faasid ho jayegi namaz dobara padhni zaruri hai._*

💫 *_ALHAMD KE BA’D SOCHTA RAHA KI KYA PADHU_*💫

💎 _Mas’Ala:
*Alhamd ke ba’d itni der tak sochta raha ki kya padhu jitni der mein 3 bar “Sub’han ALLAH” keh leta to is par sajda e sahw wajib hai warna nahin.*_

📚 *(Fatawa e Razaviyya, pg. 630, J 3)*

💫 *_ALHAMD BHOOL GAYA TO PICHHLI RAK’ATON MEIN ISKI QAZA NAHIN_*💫

💎 _Mas’Ala:
*Farz ki pehli 2 rak’aton mein Alhamd padhna bhool gaya, na ruku mein na ruku se uthne ke ba’d, qauma mein yaad aaya balki sajda mein ya sajda karne ke ba’d kisi waqt yaad aaya to ab sajda e sahw kare aur pichhli rak’aton mein iski qaza nahin.*_

📚 *(Durre Mukhtar; Shaami; Bahaar e Shari’at pg. 53, J 3)*

📚 *Masail E Sajda E Sahw 30.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites