💫 *_ALHAMD KE BA’D AAMEEN AUR BISMILLAH KE LIYE KHAAMOSH REHNA._*
💎 _Mas’Ala:
*Alhamd padhne ke b’ad agar imam ne saans li aameen kahi aur surah shuru karne se pehle Bismillah padha to itni der mein ek rukn 3 bar “Sub’han ALLAH” keh lene ke barabar der ho jayegi, magar is mein harz nahin balki ye sab baatien sunnat ke mutabiq hain. Isliye is se sajda e sahw nahin, albatta inke alawa itni der tak khaamosh raha to sajda e sahw wajib hai, agar sajda e sahw nahin karega to namaz lautani padegi.*_
📚 *_(Fatawa E Razaviyya, pg. 658, J 1)_*
💫 *_QAYAAM MEIN ALHAMD SE PEHLE YA BA’D ATTAHIYYAAT PADHA_*💫
💎 _Mas’Ala:
*Farz ki pehli ya dusri rak’at mein Alhamd padhne ke ba’d attahiyyaat padhi to sajda e sahw wajib hai aur Alhamd se pehle padhi to nahin.*_
📚 *_(Aalamgiri, pg. 66, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 53, J 3)_*
💎 _Mas’Ala:
*Farz namaz ki pichhli rak’aton ke qayaam mein attahiyyaat padh li to sajda e sahw wajib nahin hai.*_
📚 *_(Aalamgiri, pg. 66, J 1)_*
💎 _Mas’Ala:
*Nafl, sunnat, aur witr ki kisi rak’at mein Alhamd ke ba’d attahiyyaat padhi to sajda e sahw wajib hai khwah puri ya aadhi ya sirf “attahiyyaatu lillahi” tak padhe bahr surat sajda e sahw wajib hai.*_
🌀 *_ye isliye hai ki Alhamd ke ba’d aameen wagairah ada karne ke ba’d muttasilan zamm e surah wajib hai darmiyan mein ajnabi ka fasl ya ek rukn ki miqdar khaamoshi se tark e wajib hua. Isliye sajda e sahw wajib hai._*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 31.*

No comments:
Post a Comment