💫 *_AAMEEN KEHNE MEIN BHOOL_*💫
📌 *AAMEEN BHOOL GAYA YA BULAND AWAZ SE KAHA*
💎 _Mas’Ala: *Alhamd ke ba’d imam, muqtadi aur munfarid ko har namaz mein aahista aameen kehna sunnat hai agar koi shakhs aameen kehna bhool gaya ya buland awaz se keh diya to is par sajda e sahw nahin namaz ho gayi.*_
📚 *(Shaami, pg. 665, J 1)*
💫 *_AAMEEN MEIN KUCHH BADAL DIYA_*
💎 _Mas’Ala:
*Agar kisi ne aameen mein kuchh radd o badal kar diya jaise “aameen” kehne ke bajaye “ammeen”, “ ammain”, ya “ameen” ya “aman” kaha to uski namaz faasid ho jayegi,namaz dobara padhe.*_
📚 *(Shaami, pg. 665, J 1)*
💫 *_DUSRE KE WALAD-DAALEEN YA DUA PAR AAMEEN KEH DI_*💫
💎 _Mas’Ala:
*Namazi ne imam ke alawa kisi dusre shakhs se “walad-daaleen” sun kar aameen keh di to uski namaz faasid ho jayegi.*_
💎 _Mas’Ala:
*Kisi ne namaz se baahar dua maangi, namazi ne is par aameen keh di to iski namaz faasid ho jayegi namaz lautaye, sajda e sahw se kaam nahin chalega.*_
💫 *_AAMEEN KE BA’D HATH CHHOD KAR PHIR BAANDH LENA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Jis rak’at mein surah milana tha kisi ne “Alhamd” ke ba’d aameen kahi aur ruku mein jane ke irade se bhool kar hath chhod diye, fauran yaad aaya ki surah milana hai to hath baandh le aur surah mila kar ruku kare sajda e sahw wajib nahin hai kyunki hath baandhna wajib nahin sunnat hai.*_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 32.*

No comments:
Post a Comment