*【POST 27】*

💫 *_ZAMM E SURAH MEIN BHOOL_*💫

📌 *SURAH MILANA BHOOL GAYA YA EK DO CHHOTI AAYATEIN PADH KAR RUKU KIYA*

💎 _Mas’Ala *Farz namaz ki pehli ya dusri rak’at mein aur nafl, sunnat aur witr ki kisi rak’at mein “Alhamd”padhne ke ba’d surah milana bhool gaya ya sirf ek ya do chhoti aayat ke barabar padh kar ruku mein gaya phir yaad aaya to khada ho jaye aur kam az kam 3 chhoti aayaton ki miqdaar ya zyada padh kar phir ruku kare aur akhir mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi, agar qira’at ke ba’d dobara ruku nahin kiya to namaz dobara padhni padegi sajda e sahw se kaam na chalega.*_

📚 *(Durre Mukhtar pg. 427; Aalamgiri J 1, pg. 66; Fatawa e Razaviyya J 3, pg.638)*

💫 *_SURAH MILANA BHOOL GAYA SAJDE MEIN YA SAJDE KE BA’D YAAD AAYA_*💫

💎 _Mas’Ala:
*4 rak’at wali farz namaz ki pehli 2 rak’aton mein surah milana bhool gaya aur isi rak’at ke sajde mein ya sajde karne ke ba’d yaad aaya to ba’d wali rak’aton mein iski qaza kare ya’ni ba’d ki rak’aton mein “Alhamd ” ke ba’d surah milana wajib hai, agar ek mein bhoola hai to teesri ya chauthi mein padhe, Agar donon mein bhoola hai to teesri aur chauthi donon mein padhe aur magrib ki pehli donon rak’aton mein bhoola hai to teesri mein padhe aur ek rak’at ki qira’at jati rahi. In tamam sooraton mein fatiha ke sath surah padhega. Agar jehri namaz mein hai to fatiha aur surah donon buland awaz se padhega warna aahista aur akhir mein sajda e sahw kare, agar ba’d wali rak’aton mein jaan-bujh kar surah na milayi to namaz dobara padhe.*_

📚 *(Shaami pg. 665, J 1; Bahaar e Shari’at J 3)*

💫 *_“ALHAMD” KE BA’D JIS SURAH KA IRADA THA US KE ALAWA PADHI_*💫

💎 _Mas’Ala:
*“Alhamd” ke ba’d agar kisi surah ke padhne ka irada kiya tha magar iske bajaye dusri surah padh daali to is par sajda e sahw nahin.*_

📚 *(Aalamgiri pg. 65, J 1)*

📚 *Masail E Sajda E Sahw 33.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites