*【POST 28】*

💫 *_FARZ KI PICHHLI RAK’ATON MEIN SURAH MILAYI YA “ATTAHIYYAAT” PADH DI_*💫

💎 _Mas’Ala: *Agar kisi ne farz namaz ki pichhli rak’aton mein “Alhamd” ke ba’d surah milayi khwah bhool kar ya qasdan' donon sooraton mein is par sajda e sahw wajib nahin magar imam ko aisa karna na chahiye.*_

📚 *(Aalamgiri J 1, pg. 65; Bahaar e Shari’at J 4, pg. 50)*

👑 _*A’la Hazrat Imam Ahmad Raza Alaihir Rahma farmate hain balki ba’az
aimma ne iske istehbab ki tasreeh farmayi hai, faqeer ke nazdeek zaahiran istehbab tanha padhne wale ke haq mein hai, imam ke liye zarur makruh balki muqtadiyon par giraan guzre to haraam hai.*_

📚 *(Fatawa e Razaviyya J 3, pg. 737)*

💎 _Mas’Ala:
*Agar farz ki pichhli rak’aton mein kisi ne qayaam ki haalat mein “Attahiyyaat” padh di to is par sajda e sahw wajib nahin.*_

📚 *(Aalamgiri J 1, pg. 67; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 102)*

💫 *_KHILAAF E TARTEEB SURATEIN PADHI_*💫

💎 _Mas’ala:
*Qasdan Quran Sharif ulta padhna namaz ke andar ho ya namaz ke baahar dono makruh e tahreemi aur gunaah hai, is ke liye sakht waeedein aayi hain. Hazrat e Sayyiduna Abdullah bin Mas’ood Radi Allahu Ta’ala Anhu farmate hain jo Quran tarteeb ke ulta padhe to kya wo khauf nahin karta ki ALLAH Ta’ala uska dil hi ulat de. (al ayaaz billahi ta’ala)*_

🏮 *_Albatta bacchon ki ta’leemki garz se khilaaf e tarteeb jo padhaya jata hai iski fuqaha e kiraam ne ijazat di hai._*

💎 _Mas’Ala:
*Kisi ne pehli rak’at mein “iza ja’a” aur dusri mein “qul ya ayyuhal kaafirun” padha, agar bhool kar aisa hua to na is par gunaah hai na sajda e sahw aur qasdan aisa kiya to is par sirf gunaah hoga sajda e sahw nahin hoga.*_

📚 *(Shaami J 1, pg. 426; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 49)*

📍 _*Iski wajah ye hai ki Quran shareef tarteeb ke sath padhna tilawat ke wajibaat se hai namaz ke wajibaat mein se nahin hai, isliye tarteeb ke khilaaf padhne se sajda e sahw wajib nahin.*_

💫 *_KHILAAF E TARTEEB SURAH SHURU KAR KE PHIR TARTEEB SE PADHI_*💫

💎 _Mas’Ala:
*Kisi ne bhool kar dusri rak’at mein khilaaf e tarteeb surah shuru kar di maslan pehli rak’at mein “iza ja’a” padhi aur dusri mein “Qul ya ayyuhal kaafirun” shuru kar di phir yaad aaya to isko chhod kar tarteeb ke muwafiq “tabbat yada” padhi to sajda e sahw wajib nahin namaz ho gayi magar aisa karna makruh hai balki jo surah az khud be-ikhtiyaar zabaan par jaari ho jaye isi ko padhe, isko chhodna nahin chahiye.*_

📚 *(Shaami J 1, pg. 51; Bahaar e Shari’at J 3, pg.102)*

📚 *Masail E Sajda E Sahw 33 34. 35*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites