💫 *_DUSRI RAK’AT MEIN PEHLI SE TAWEEL QIRA’AT KI_*💫
💎 _Mas’ala:
*Donon rak’aton mein Quran ki tilawat barabar hona chahiye ya phir dusri rak’at mein pehli ki ba-nisbat kuchh kam ho, dusri rak’at mein itni lambi qira’at karni ke donon mein numaya farq mehsoos hone lage to aisa karna makruh hai. magar is se sajda e sahw wajib nahin.*_
📚 *(Durre Mukhtar; Shaami; Bahaar E Shari’at pg. 102, J 3)*
🔮 *_Agar donon suraton ki aayatein barabar hain to 3 aayat ki zyadati se karahat hogi aur agar aayatein chhoti badi hon to aayaton ki ta’dad ka aitebar na hoga huruf wa kalmaat ka aitebar hoga, agar kalmaat o huruf mein bahut zyada kami-beshi ka farq ho to karahat hai. Agarche donon suraton ki aayatein ginti mein barabar hain, maslan pehli mein “Alam Nashrah” aur dusri mein “Lam yakun” padhi to karahat hai agarche donon mein 8 – 8 aayatein hain magar kalmaat o huruf mein bahut zyada tafawut hai._*
📚 *_(Durre Mukhtar; Raddul Muhtar)_*
💫 *_EK CHHOTI SURAH DARMIYAN SE CHHOD KAR PADHI_*💫
💎 _Mas’Ala:
*Pehli rak’at mein koi surah padhi aur dusri rak’at mein ek chhoti surah darmiyan se chhod kar padhi to ye makruh hai. Agar wo darmiyaan wali surah badi hai ke agar is ko padhta hai to dusri rak’at ki qira’at pehli se taweel ho jayegi to is soorat mein harj nahin. “Wat’teen” ke ba’d “ Inna anzalna” padhne mein harj nahin aur “ iza ja’a” ke ba’d “Qul huwallah” darmiyaan se “tabbat yada” chhod kar na padhna chahiye.*_
📚 *_(Durre Mukhtar pg. 465, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 102, J 3)_*
💎 _Mas’Ala *Farz ki pehli rak’at mein ek surah ki chand aayatein ek jagah se padhi aur dusri rak’at mein isi surah ki chand aayatein padhi to harj nahin.*_
📚 *(Shaami pg. 465, J 1; Bahaar e Shari’at pg. 102; J 1)*
💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne ek hi rak’at mein kisi surah ki chand aayatein padhi phir kuchh chhod kar dusri jagah se isi surah ki aayatein padhi to aisa karna makruh hai. aur agar bhool kar aisa hua to yaad aate hi lautaye aur chhuti huyi aayatein padhe, magar is par sajda e sahw wajib nahin.*_
📚 *(Shaami; Bahaar E Shari’at pg. 101, J 1)*
💫 *_BHOOL KAR DUSRI RAK’AT MEIN UPAR KI SURAH SHURU KAR DI_*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi ne bhool kar dusri rak’at mein upar ki surah shuru kar di ya ek chhoti Surah ka faasla ho gaya phir yaad aaya to jo surah shuru kar chuka hai usi ko pura kare agarche abhi ek hi harf padha ho maslan pehli mein “Qul ya ayyuhal kaafirun” aur dusri mein “Alam tara kaifa” ya “Tabbat yada” shuru kar di, ab yaad aane par isi ko khatm kare, chhod kar “Iza ja’a” padhne ki ijazat nahin. Aisa ho jaane se sajda e sahw nahin.*_
📚 *(Bahaar e Shari’at pg. 102. J 3)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 35 36.*

No comments:
Post a Comment