*【POST 30】*

💫 *_EK HI SURAH DONON RAK’ATON MEIN PADHI_*💫

💎 _Mas'Ala
*Farz ki donon rak’aton mein ek hi surah ki takraar makruh e tanzeehi hai jab ki koi majboori na ho. Majboori ki soorat mein bilkul karahat nahin, maslan pehli rak’at mein “Qul auzu birabbin-naas” padhi jo Quran ki sab se aakhri surah hai, lihaza dusri rak’at mein bhi isi ko padhe ya dusri rak’at mein bila irada wahi surah zabaan par aa gayi jo pehli rak’at mein padh chuka hai, ya iske alawa koi dusri surah yaad nahin aa rahi hai to in sab sooraton mein wahi pehli surah padhe, namaz bila-karahat ho jayegi sajda e sahw nahin.*_

📚 *(Shaami, pg. 465, J 1; Bahaar E Shari’at pg.101, J 1)*

💎 _Mas’ala:
*Nawafil ki donon rak’aton mein ek hi surah mukarrar (bar - bar) padhna, ya ek hi rak’at mein ek hi surah bar - bar padhna bila-karahat jaiz hai.*_

📚 *(Bahaar e Shari’at pg. 101, J 1)*

💫 *_EK HI AAYAT BAR BAR DOHRANA_*

💎 _Mas’ala:
*Imam ne kisi ek aayat ko bar-bar dohraya ki ek rukn 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar der ho gayi to bhi sajda e sahw nahin, isi dauran muqtadi ne bar-bar luqma diya yahan tak ki ek rukn ki miqdaar taakhir ho gayi to bhi sajda e sahw wajib nahin aur na hi luqma dene wale ki namaz faasid hui.*_

💫 *_FARZ KI EK HI RAK’AT MEIN 2 SURATEIN PADHI_*💫

💎 _Mas’ala:
*Farz ki ek hi rak’at mein 2 suratein ek hi sath mila kar padh di agar munfarid (tanha namaz padh raha ho) to harj nahin, ba-sharte ki donon suraton mein faasla na ho, agar darmiyan se ek ya chand suratein chhod kar padhi to makruh hai aur imam ko bahre soorat aisa na karna chahiye magar sajda e sahw wajib nahin.*_

📚 *(Bahaar E Shari’at pg. 54, J 4)*

📚 *Masail E Sajda E Sahw 36 37.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites