*【POST 31】*

💫 *_SURAH PADHNE KE DAURAN SOCHNE LAGA KI KYA PADHU_*

💎 _Mas’ala:
*Qira’at karne ke dauran ruk kar sochne laga ki kya padhu? Isi soch mein ek rukn ya’ni 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar taakhir ho gayi to sajda e sahw wajib hai.*_

📚 *(Shaami; Bahaar e Shari’at pg.54, J 4)*

💎 _Mas’ala: *Qira’at ke ba’d ruku mein jaane se pehle ek rukn ki miqdaar khada sochta raha phir ruku mein gaya to is par sajda e sahw wajib hai.*_

📚 *(Aalamgiri pg.65, J 1)*

💫 *_SURAH PADHTE HUYE BHOOL GAYA PHIR SHURU SE PADHI_*💫

💎 _Mas’ala:
*Kisi ne surah shuru ki aur aadha hissa ya kam ya zyada padh kar bhool gaya phir dobara shuru se padh kar khatm kiya to namaz ho gayi sajda e sahw wajib nahin hai.*_

📚 *(Fatawa E Sirajiya bar hashiya Qazi Khan pg. 72)*

💫 *_SURAH PADHTE HUYE BHOOL GAYA AUR DUSRI SURAH MEIN CHALA GAYA_*

💎 _Mas’ala:
*Imam ne surah “wal-asr” ko “illal lazeena aamanu wa ‘amilus saalihaat” tak padha phir bhool kar surah “wat’teen” mein pahunch gaya aur padh diya “falahum ajrun ghairu mam’noon” aur aakhir tak padh daala to namaz ho gayi sajda e sahw ki zarurat nahin.*_

📚 *(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami pg. 592, J 1)*

💎 _Mas’ala:
*Surah shuru ki abhi 3 chhoti aayaton ki miqdaar nahin padh paya tha ki bhool gaya phir ise dohraya magar yaad na aaya aur ise chhod kar dusri surah ya aayatein padhien to namaz ho gayi sajda e sahw ki zarurat nahin, aur agar sochne mein 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar der ho gayi phir iske ba’d padhna shuru kiya to is soorat mein sajda e sahw wajib hai.*_

📚 *(Fatawa e Razaviyya pg. 125, J 3)*

💎 _Mas’ala:
*Agar 3 aayat ki miqdaar padh chuka hai iske ba’d bhoola to chahiye ki ruku kare aur baqiya namaz puri kare sajda e sahw ki zarurat nahin.*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 37 38.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites