*【POST 32】*

       💫 *_3 AAYATON KE BA'D QIRA’AT MEIN GALTI HUI_*💫

💎 _Mas’ala: *Imam ne surah fatiha ke ba’d 3 chhoti aayatein ya 1 badi aayat padh li, iske ba’d kahin galat padh diya agar ye galti aisi hai jis se namaz faasid ho jayegi to muqtadiyon ko luqma dena zaruri hai warna sab ki namaz faasid ho jayegi, aur agar is galti se namaz faasid nahin hoti to luqma dena jaiz hai magar sajda e sahw wajib nahin hai.*_

📚 *(Kabeeri pg. 417)*

     💫 *_QIRA’AT KARNE MEIN KOI KALMA CHHUT GAYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Namaz mein qira’at karte huye darmiyan se koi kalma chhut gaya agar iski wajah se ma’ani mein aisi tabdili nahin aayi jis se namaz faasid ho jaye to namaz ho jayegi, sajda e sahw ki zarurat nahin. Jaise “jaza’u sayya’atin sayya’atum mathluha” mein pehle wale “ sayya’atin” ke lafz ko chhod kar “jaza’u sayya’atum mathluha” padh diya aur agar tabdili aisi hai jis se ma’ani faasid ho jata hai to is soorat mein namaz lautani padegi sajda e sahw se kaam nahin chalega.*_

📚 *(Kabeeri pg. 452)*

💫 *_QIRA’AT KARTE HUYE KISI LAFZ KA TARJUMA PADH DIYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Namaz mein qira’at kar raha tha ki galti se kisi lafz ka tarjuma munh se nikal gaya to namaz faasid ho gayi dobara padhe, sajda e sahw se kaam na chalega.*_

📚 *(Shaami J 1, pg. 340)*

💫 *_3 AAYATON KE BA’D BHOOLA AUR FAURAN RUKU MEIN CHALA GAYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*3 chhoti aayaton ki miqdaar ya ek lambi aayat padhne ke ba’d bhool gaya aur fauran ruku mein chala gaya to namaz bila-karahat ho gayi sajda e sahw wajib nahin, agar ek rukn 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ke barbar sochne mein der lagayi iske ba’d ruku mein gaya to sajda e sahw wajib hai.*_

📚 *(Shaami J 1, pg. 427)*

💫 *_FARZ KI AAKHRI RAK’AT MEIN KUCHH NAHIN PADHA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Farz ki aakhari rak’aton mein kuchh nahin padha bilkul khaamosh raha ya tasbeeh “Sub’han ALLAH” padha to bhi namaz ho gayi magar aisa na karna chahiye phir bhi is se sajda e sahw wajib nahin hua.*_

📚 *(Aalamgiri J 1, pg. 65)*

📚 *Masail E Sajda E Sahw 38 39.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites