*【POST 33】*

💫 *_MUNH BAND KAR KE QIRA’AT KI_*💫

🔮 _Tanbeeh: *Ba’az log namaz mein is tarah Quran padhte hain ki munh bilkul band rehta hai ya dil mein padhte hain is tarah padhne se qira’at jo namaz ka ek rukn (farz) hai wo ada hi nahin hota namaz faasid ho jati hai. Iska khayal rakhna zaruri hai, bahut se log is mas’ale se ghaafil hain, yaad rahe jahan kahin kuchh padhne ka hukm hai usko is tarah padhna chahiye ki agar shor o gul na ho to khud apni awaz sun sake.*_

💫 *_KISI KI KHAATIR QIRA’AT LAMBI KI_*

💎 _Mas’ala:- *Imam ko apni jaan pehchan wale ke liye qira’at ko lamba karna ya namaz mein tul dena makruh e tahreemi hai magar sajda e sahw wajib nahin aur agar kisi khaas shakhs ka lihaaz kiye baghair aam logon ko namaz mein shaamil hone ke liye aisa kiya to “ianat alas salaah” ki wajah se harj nahin.*_

📚 *(Durre Mukhtar J 1 pg.462)*

       💫 *_QIRA’AT MEIN GALTI PAR SAJDA E SAHW KIYA AUR KUCHH LOG EK RAK’AT KE BA’D SHAAMIL HUYE_*💫

💎 _Mas’ala:
*Imam ne qira’at ki, muqtadi ne luqma diya imam ne luqma qubool kar ke isko sahi kar liya phir aakhir mein isi galti par sajda e sahw kiya jis ki zarurat nahin thi to is soorat mein imam aur in muqtadiyon ki namaz ho gayi jo pehli rak’at se hi imam ke sath shareek the. Magar wo log jo ek rak’at ke ba’d ya sajda e sahw ka salam pherne ke ba’d is namaz mein shaamil huye unki namaz faasid ho gayi, dobara padhein jab ki unko ma’lum ho ki imam par sajda e sahw nahi tha aur kar liya.*_

📚 *(Tahtawi alal maraqi pg.253)*

💫 *_TAJWEED KI RIA’YAT KE BAGHAIR QIRA’AT KI_*💫

💎 _Mas’ala:
*Namaz mein agar kisi ne tajweed ki ria’yat ke baghair Quran padha to is par sajda e sahw wajib nahin haan agar aisi galti hui jis se namaz faasid ho jati hai to namaz ka iadah wajib hoga namaz dobara padhni hogi.*_

📚 *(Aalamgiri J 1, pg. 66)*

📚 *Masail E Sajda E Sahw 40 41.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites