💫 *_NAMAZ MEIN JEHAR (AWAZ SE) AUR SIRR (AAHISTA) PADHNE PAR SAJDA E SAHW_*💫
📌 *JEHAR AUR SIRR KA MA’ANI:*
💎 _Jehar *ya’ni awaz se padhna, Shari’at mein jehar se padhne ka matlab ye hai ki jo log pehli saf mein hain wo awaz ko sun sakein, ye jehar ka adna (kam se kam) darja hai. A’la ke liye koi hadd muqarrar nahin albatta zarurat se zyada is qadar buland awaz se padhna ki apne ya dusre ke liye ba’is e takleef ho makruh hai. Is se bachna zaruri hai aur itna aahista padhna ki qareeb ke do ek admi sun sake jehar nahin kehlayega.*_
📚 *(Shaami; Durre Mukhtar; Bahaar e Shari’at wagaira ammah kutub)*
✨ *_SIRR:--_*
🔮 *_Ya’ni aahista padhna. Sirr ka adna darja ye hai ki khud sune agar sirf hont hilaye ya is qadar aahista padhe ki khud bhi na sun sake to is ko sirr na kahenge. Is tarah namaz mein Quran padhne se namaz hi nahin hogi, bahar- haal aahista padhne mein itna zaruri hai ki agar shor o gul nahin hai to apni awaz ko khud sune._*
💫 *_KIN NAMAZON KI KIN RAK’ATON MEIN JEHAR AUR SIRR WAJIB HAI_*💫
🔮 _*Maghrib aur Isha ki pehli dono rak’aton mein , Fajr, Juma’, Eidain, Taraweeh aur Ramzan ul Mubarak mein Witr ba-jama’at ki har rak’at mein imam par wajib hai ki “Alhamdulillah” aur surah ko jehar ke sath (buland awaz se) padhe aur jin namazon mein imam par jehar wajib hai inko “jehri namaz” kehte hain.*_
🔮 _*Namaz e Maghrib ki teesri aur Isha ki teesri aur chauthi rak’at mein “Alhamd”aahista padhi jayegi, Zuhar aur Asr ki sab rak’aton mein imam aur munfarid (tanha padhne wale) par aahista qira’at karni wajib hai. In namazon ko jinki har rak’at mein sirr (aahista) padhna wajib hai, inko “sirri namaz” kehte hain.*_
💎 _Mas’ala: *Din ki nafli namazon mein qira’at aahista karni wajib hai, raat ki nafli namazon mein ikhtiyaar hai aahista padhe ya buland awaz se padhe donon jaiz hai.*_
💎 _Mas’ala:
*Jehri namazon mein munfarid (tanha namaz padhne wale) ko ikhtiyaar hai jehar kare ya aahista padhe jaiz hai, magar jehri namaz mein buland awaz se padhna afzal (behtar) hai.*_
📚 *(Aammah Kutub)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 41 42.*

No comments:
Post a Comment