*【POST 35】*

💫 *_IMAM NE JEHRI MEIN AAHISTA AUR SIRRI MEIN AWAZ SE PADHA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Jehri namaz mein imam ne bhool kar ek aayat ki miqdaar jis se qira’at ka farz ada ho jaye aahista padha, sirri namaz mein buland awaz se padh diya to sajda e sahw wajib hai, aur agar ek aadh kalma aahista ya zor se padh diya to sajda e sahw wajib nahin.*_

📚 *(Aalamgiri pg. 65, J 1; Durre Mukhtar; Shaami pg. 694, J; Fatawa e Razaviyya
pg. 91, J)*

🔮 _JAISE *“Alham” ya “Alhamd” sirri mein awaz se padh diya aur jehri mein aahista to sajda e sahw nahin, aur “Alhamdulillah” padh diya to sajda e sahw wajib hai, yun hi “Qul” padha to sajda e sahw nahin aur “Qul huwallahu” padha to
sajda e sahw wajib hai.*_

💫 *_MUNFARID NE SIRRI MEIN JEHAR KIYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Munfarid ya’ni jo akela namaz padh raha hai isko ikhtiyaar hai ki jehri namaz mein aahista qira’at kare ya buland awaz se padhe, magar sirri namaz mein buland awaz (jehar) se padhne ki ijazat nahin. Is liye agar munfarid ne sirri namaz mein buland awaz se bhool kar qira’at ki to is par sajda e sahw wajib hai.*_

📚 *(Shaami pg.394, J 1; Bahaar E Shari’at)*

💫 *_JEHRI NAMAZ KI QAZA DIN MEIN AUR SIRRI KI RAAT MEIN JAMA’AT SE PADHA_*💫

💎 _Mas’ala: *Raat wali namaz jis mein buland awaz se qira’at wajib hai agar kisi uzr e sahih se chhut gayi aur log raat mein isko padh na sake ab din mein isi namaz ki qaza jama’at ke sath padhna chahein to imam par wajib hai ki ba-awaz e buland qira’at kare. Yun hi din ki sirri namaz ki qaza agar raat mein padhien to aahista qira’at karni wajib hai, agar bhool kar iske khilaaf kiya to sajda e sahw wajib hai, agar qasdan kiya to namaz lautani wajib aur zaruri hai.*_

📚 *(Aalamgiri baab wajibaat al salah)*

📚 *Masail E Sajda E Sahw 42 43.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites