💫 *_GHAIR NAMAZI KE KEHNE SE IMAM NE AAHISTA PADHA YA ISKA LUQMA LIYA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Zuhar ya Asr ki namaz mein bhool kar imam ne buland awaz se qira’at shuru ki aur kisi dusre shakhs ne jo iske sath namaz mein shareek nahin hai kaha ki aahista padho, iske kehne se kuchh tauquf karne ke ba’d aahista padhna shuru kiya to namaz ho gayi aur agar iske kehne par fauran bila-tauquf aahista padhna shuru kiya to namaz lautani padhegi.*_
📚 *(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami pg. 581, J 1)*
✨ *_TANBEEH_*✨
🔮 *_Khayal rahe ki agar ek chhoti aayat ki miqdaar jis se qira’at ka farz ada ho jata hai buland awaz se padh liya to is soorat mein sajda e sahw wajib hoga, warna nahin._*
💎 _Mas’ala:
*Agar imam qira’at karte huye bhool gaya aur kisi dusre shakhs ne jo iske sath namaz mein shareek nahin hai luqma diya aur imam ne iska luqma le liya aur fauran bila tauquf iske batane se padhna shuru kiya to namaz faasid ho gayi, lautani padegi, aur kuchh tauquf ke ba’d padha to namaz ho gayi, sajda e sahw ki zarurat nahin.*_

🔮 *_Khayal rahe, batane ya luqma dene ke ba’d itna tauquf kiya ki jitni der mein ek rukn ya’ni 3 martaba “Sub’han ALLAH” kaha ja sakta hai, to is soorat mein bhi is par sajda e sahw wajib hoga agar sajda e sahw nahin kiya to namaz lautani
padegi._*
💫 *_WITR AU4 TARAWEEH MEIN AAHISTA QIRA’AT KI_*💫
💎 _Mas’ala:
*Ramzan ul Mubarak mein ba-jama’at witr mein ya taraweeh ki namaz mein imam ne aahista qira’at ki to sajda e sahw wajib hai.*_
📚 *(Aalamgiri pg.66, J 1)*
💎 _Mas’ala:
*Ramzan ke alawa ya ramzan mein tanha witr padhe to qira’at aahista kare, agar buland awaz se qira’at ki to sajda e sahw wajib hoga.*_
💫 *_JUMA’ AUR EIDAIN MEIN JEHAR WAJIB HAI_*💫
💎 _Mas’ala:
*Juma’ aur Eidain ki namazon mein imam par jehar (buland awaz se qira’at) wajib hai, agar bhool kar tark kiya to sajda e sahw wajib hai.*_
📚 *(Aalamgiri pg. 67, J 1)*
💎 _Mas’ala:
*Agar namaz e Juma’ aur Eidain mein hujum zyada hai aur imam ne sajda e sahw nahin kiya to bhi namaz ho gayi.*_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 43 44.*

No comments:
Post a Comment