*【POST 37】*

💫 *_SAJDA E TILAWAT MEIN SAHW_*💫

📌 *_NAMAZ MEIN SAJDA E TILAWAT FAURAN WAJIB HAI_*

💎 _Mas’ala:
*Jis ne namaz mein aayat e sajda tilawat ki, is par fauran sajda e tilawat wajib hai. Agar sajda karne mein taakhir karega to gunahgaar hoga. Taakhir se muraad ye hai ki aayat e sajda ke ba’d 3 chhoti aayaton ki miqdaar padh le,
agar is se kam padha to is taakhir ka aitebar nahin. Khayal rahe jo aayat e sajda namaz mein padhi gayi hai iska sajda namaz ya hurmat e namaz mein hi ada hoga, bairun e namaz iski adayegi nahin ho sakti, agar namaz mein qasdan sajda nahin kiya to gunahgaar hoga.*_

📚 *(Durre Mukhtar pg. 721 J 1)*

💫 *_SAJDA E TILAWAT KARNA BHOOL GAYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne namaz mein aayat e sajda padhi aur sajda karna bhool gaya to jab tak namaz ya hurmat e namaz mein hai to yaad aate hi sajda e tilawat ada kare aur ba’d mein sajda e sahw kare.*_

📚 *(Durre Mukhtar; Shaami pg.721, J 1)*

📍 *_Khayal rahe ki hurmat e namaz mein hone ka matlab Fuqaha ke nazdeek ye hai ki namaz ka salam pher chuka ho magar salam ke ba’d abhi tak koi aisa kaam na kiya ho jo namaz ke munafi hai. Maslan baat chit karna, khana peena wagaira._*

💎 _Mas’ala:
*Aayat e sajda tilawat ki aur abhi is ke ba’d 3 chhoti aayaton ke barabar nahin padha tha ki yaad aaya aur fauran sajda kar liya to is soorat mein is par sajda e sahw wajib nahin hai.*_

📚 *(Durre Mukhtar; Shaami pg. 721, J 1)*

📚 *Masail E Sajda E Sahw 44 45.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites