💫 *_SAJDA E TILAWAT RUKU MEIN_*
💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne sajde ki aayat namaz mein padhi aur fauran bila taakhir ruku kiya aur is ruku mein sajda e tilawat ki niyat kar li to is se is ka sajda e tilawat ada ho jayega, lekin agar imam hai to ye soorat munasib nahin, kyunki is se sirf imam ka sajda ada hoga, muqtadiyon ka sajda e tilawat reh jayega, is liye ki imam ki niyat ke sath muqtadiyon ko bhi niyat karni zaruri hai aur yahan
imam ki niyat ka haal muqtadiyon ko ma’lum na ho sakega magar aisa karne se is par sajda e sahw nahin.*_
📚 *(Shaami pg.723, J 1)*
💎 _Mas’ala:
*Ruku mein jate waqt sajda e tilawat ki niyat nahin ki balki ruku mein jane ke ba’d ya ruku se uthne ke ba’d niyat ki to ye niyat kaafi nahin. Is tarah ruku se sajda e tilawat ada na hoga, dobara karna hoga.*_
📚 *(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at pg 70, J 4)*
💎 _Mas’ala: *Aayat e sajda e tilawat karne ke ba’d imam ruku mein gaya aur niyat e sajda kar li magar muqtadiyon ne na ki, to unka sajda ada na hua. Lihaza jab imam salam phere to muqtadi sajda e tilawat kar ke qa’dah kare aur salam phere, is qa’dah mein bhi tasha’hud padhna wajib hai agar sajda e tilawat ke ba’d qa’dah na kiya to namaz faasid ho jayegi kyunki qa’dah e akhira jata raha, ye
hukm jehri namaz ka hai sirri namaz mein chunki muqtadi ko ilm nahin lihaza ma’zoor hai.*_
📚 *(Shaami; Bahaar e Shari’at pg. 70 J 4)*
💫 *_SAJDA E TILAWAT BHOOL GAYA TO JIS RUKN MEIN YAAD AAYE KAR LE_*💫
💎 _Mas’ala:
*Namaz mein aayat e sajda padhi aur sajda e tilawat karna bhool gaya, phir ruku ya sajda ya qa’dah mein yaad aaya to usi waqt sajda kare, aur jis haalat mein tha usi haalat ki taraf laut aaye, maslan ruku mein tha to ruku mein waapas aaye, agar is rukn ko pura ada kar liya tha to iska iadah nahin namaz ho gayi, magar qa’dah e akhirah ka lautana farz hai, kyunki sajda e tilawat ki adayegi se qa’dah e akhirah baatil ho gaya is liye dobara qa’dah e akhirah kare, bahar-haal is soorat mein is par sajda e sahw wajib hai.*_
📚 *(Durre Mukhtar)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 45 46.*

No comments:
Post a Comment