💫 *_AAYAT E SAJDA KE BA’D FAURAN NAMAZ KA SAJDA KIYA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Aayat e sajda namaz mein padhne ke ba’d fauran namaz ka sajda kar liya ya’ni aayat e sajda ki tilawat ke ba’d fauran bila-tauquf ya 3 chhoti aayaton se kam miqdaar par padh kar ruku kiya phir sajda kiya to agarche sajda e tilawat ki niyat na ho phir bhi ada ho jayega aur is soorat mein is par sajda e sahw bhi wajib na hoga.*_
📚 *(Aalamgiri; Durre Mukhtar)*
👑 _*Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Barelwi Alaihir Rahmatu war-ridwan Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 654 par ek sawal ka jawab dete huye farmate hain : soorat e mustafsira mein tilawat ke liye mustaqil sajda na kiya balki aayat e sajda padhte hi ma’an namaz ka ruku baja laya aur is mein niyat e sajda na kiya phir qauma ke ba’d fauran namaz ke sajda e ula mein jaye aur is mein niyat e sajda kare, ab na koi qabahat ya karahat ya tafwiyat fazilat laazim hui, na muqtadiyon par kuchh diqqat hui agarche unhone niyat e sajda e tilawat na ki ho, ke sajda e namaz jab fil faur kiya jaye to is se sajda e tilawat khud ba-khud ada ho jata hai*_
🔮 _*agarche niyat na ki ho. Iske chand satr ba’d farmate hain : ye soorat isi haalat mein ban padegi ki aayat e sajda ke ba’d namaz ke ruku aur sujood mein der na ki ho fauran baja laya, warna agar aayat e sajda padh kar 3 – 4 aayatein aur padh li to ab sajda e tilawat hargiz be khaas mustaqil sajda ke ada hi na hoga aur taakhir ka gunaah hua.*_
📍 *_Is se ma’lum hua ki aayat e sajda ke ba’d fauran ruku karke namaz ka sajda karne se dono qism ke sajde bila-karahat ada ho jayenge, na tark e wajib hoga na hi taakhir e wajib laazim aayegi, na gunaah hoga na hi sajda e sahw wajib hoga._*
💫 *_AAYAT E SAJDA EK YA SAB RAK’ATON MEIN BAR BAR PADHI_*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi namaz ki ek hi rak’at mein ek hi aayat e sajda ko bar bar padh kar ya ek bar padh kar sajda e tilawat kiya, phir sajde se sar utha kar isi rak’at mein isi aayat ko phir dobara aur sahbara padha to in sab sooraton mein wahi ek sajda uske liye kaafi hai. Yunhi namaz ki sab rak’aton mein ya do ya teen mein wahi ek aayat e sajda padhi to sab ke liye ek hi sajda kaafi hai aur in tamam sooraton mein is par sajda e sahw nahin, basharte ki pehli rak’at mein is ne fauran sajda e tilawat bila taakhir kar liya ho, aur agar is ne pehli rak’at mein fauran sajda nahin kiya, taakhir se kiya ya aakhir rak’at mein kiya, to in sooraton mein is par sajda e sahw wajib hai.*_
📚 *(Aalamgiri pg.77, J 1)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 46 47.*

No comments:
Post a Comment