💫 *_IMAM MUSAFIR HAI AUR MASBOOQ MUQEEM TO BAQIYA NAMAZ KIS TARAH PADHE._*💫
💎 _Mas’ala:
*Imam musafir hai aur muqeem 4 rak’at wali namaz mein imam ke sath us waqt shareek hua jab ki imam ki ek rak’at ho chuki thi to muqeem masbooq imam ke sath ek rak’at padh kar imam ke sath baithega, imam ke salam ke ba’d khada hokar apni 3 rak’at chhuti hui namaz ko is tarah ada kare ki pehli rak’at bila qira’at khaamosh ada kare, aur ruku o sajda karke qa’dah kare phir attahiyyaat padh kar khada ho jaye aur dusri rak’at bhi bila qira’at khaamosh ada kare, ruku o sajda kare, is rak’at mein bhi qa’dah kare aur attahiyyaat padh kar teesri rak’at ke liye khada ho to ab teesri mein fatiha padh kar surah milaye aur ruku o sajda karke qa’dah e akhirah kare.*_
✨ _*Is qa’dah mein attahiyyaat ke ba’d durood sharif aur dua e masura padhe phir salam phere, is tarah chaaron rak’at ke ba’d qa’dah karna hai, in mein 3 pehle qa’de wajib hain, chautha farz hai, lihaza teenon mein se agar ek bhi bhoole se chhut gaya to sajda e sahw wajib hoga, aur agar qasdan chhoda to namaz dobara padhni padegi, agarche chautha qa’dah chhut gaya khwah qasdan khwah bhool kar to bahar-haal namaz faasid ho gayi dobara padhni farz hai,*_
⚡ _*yunhi maghrib ki namaz mein koi shakhs teesri rak’at mein shareek hua to imam ke salam ke ba’d jab apni chhuti hui padhega to pehli rak’at par qa’dah karega phir dusri rak’at par qa’dah e akhirah karega aur salam pherega, is mein bhi teen rak’atein aur teen qa’ade huye, in mein qa’dah e akhirah farz hai aur 2 pehle wale wajib hain, in dono mein se ek imam ka sath ada kar liya hai in mein se agar dusra qa’dah bhool gaya to sajda e sahw wajib hai, aur teesra bhoola to namaz lautani padegi.*_
💫 *_MUSAFIR IMAM KE PICHHE MUQEEM MISL E MASBOOQ KE HAI._*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi muqeem ne 4 rak’at wali namaz aise imam ke peeche padhi jo musafir hai to imam ke salam pherne ka ba’d jab ye apni rak’at padhne ke liye khada ho to dono rak’aton ko bila qira’at khaamosh ada kare jaise imam ke peechhe khaamosh khada rahta hai aur agar isko apni chhuti hui namaz mein sahw ho gaya to is par sajda e sahw wajib hai jaise masbooq par, aur agar is ko ek rak’at mili hai to apni 3 rak’atein padhte waqt pehli 2 rak’at bila qira’at khaamosh ada kare aur aakhri rak’at qira’at ke sath ada kare.*_
📖 _(Shaami pg. 55; Aalamgiri pg. 66, J 1)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 95 96.*

No comments:
Post a Comment