*【POST 79】*

💫 *_SALAM SE ZARA PEHLE SHAREEK HUA TO ATTAHIYYAAT PADH KAR UTHE._*

💎 _Mas’ala:
*Imam dahini taraf salam pherne wala tha ki masbooq aakar imam ke sath qa’dah mein shaamil hua to imam ke salam pherte hi fauran khada na ho balki puri attahiyyaat padh kar uthe.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 463)_

📌 *TANBEEH*

✨ _*Agar takbir e tahreema keh kar khada hi tha ya baithne ja raha tha ki imam ne “As-salam” ka lafz keh diya to uski ye namaz na hogi alag se padhe.*_

💫 *_IMAM KE “AS-SALAM” KEH DENE KE BA’D MASBOOQ SHAREEK HUA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar koi imam ke pehle salam pherte waqt shareek hua ya’ni “as-salam” ki “meem” ke ba’d aur “alaykum wa rahmatullah” se pehle shareek hua to iqteda sahi na hui kyunki salam ki “meem” par namaz khatm ho jati hai is liye wo shakhs apni namaz alheda padhe aur dobara takbir e tahreema bhi kare.*_
_📖(Shaami J 1, pg. 436)_

💫 *_MASBOOQ WITR KI TEESRI RAK’AT MEIN SHAREEK HUA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Ramzan sharif mein agar koi witr ki namaz mein teesri rak’at mein shareek hua aur teesri rak’at pa li, ya ruku mein shareek hua hai to dono sooraton mein ise ba’d mein dua e qunoot padhne ki zarurat nahin aur agar ruku ke ba’d shareek hua to akhir mein dua e qunoot padhe.*_
📖 _(Maraqil Falaah pg. 225)_

💫 *_MASBOOQ SANA KAB PADHE._*💫

💎 _Mas’ala:
*Masbooq ke liye ye hukm hai ki jab wo apni chhuti huyi rak’at padhne ke liye khada ho to us waqt sana padhe, jis waqt jama’at mein shareek hua hai agar imam buland awaaz se qira’at kar raha hai to sana na padhe aur agar aahista padh raha hai to padh sakta hai aur agar ruku ya sajda mein shareek ho aur mauqa hai to takbir e tahreema ke ba’d hi padh lena chahiye.*_
📖 _(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami J 1, pg. 456)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 94 95.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites