*【POST 78】*

💫 *_MASBOOQ NE BHOOL KAR SALAM PHER DIYA AUR DUA BHI MAANG LI PHIR YAAD AAYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Masbooq ne bhool kar Imam ke sath salam pher diya phir hath utha kar Arabi mein dua bhi maang li phir use yaad aaya ki mujhe kuchh rak’at padhni baqi hai aur dua ke alawa koi baat chit manafi e namaz chiz nahin payi gayi to fauran khada ho jaye aur chhuti hui namaz puri kare aur aakhir mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 560)_

💫 *_MASBOOQ NE ZAYED RAK’AT MEIN IMAM KI IQTEDA KI._*💫

💎 _Mas’ala:
*Koi shakhs Maghrib ki namaz mein imam ke sath aakhari qa’dah mein shareek hua aur usko ilm bhi hai ki qa’dah e akhirah hai magar imam ko shak ho gaya ki shayad ye qa’dah e ula hai, isliye imam ek rak’at aur padhne ke liye khada ho gaya to masbooq agar is zayed rak’at mein imam ke sath shareek ho gaya to iski namaz faasid ho jayegi.*_
📖 _(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami J 1, pg. 560)_

📌 _Is soorat mein masbooq ko apni chhuti hui namaz puri karne ke liye khade ho jana chahiye._

💫 *_MASBOOQ QA’DAH E AKHIRAH MEIN IMAM KE SATH SIRF ATTAHIYYAAT PADHE._*💫

💎 _Mas’ala:
*Imam ke pichhe masbooq ko chahiye ki attahiyyaat padhe aur khoob thehar thehar kar padhe ki imam ke salam pherne tak attahiyyaat khatm ho aur agar imam ke salam pherne se pehle attahiyyaat puri kar li to is ko ikhtiyar hai ki khaamosh baitha rahe ya “Ash’hadu alla ilaha illal lahu wa ash’hadu anna Muhammadan ‘abduhu wa rasooluhu” padhe aur chahe to puri attahiyyaat
dobara padhe.*_
📖 _(Kabeeri J 1, pg. 441)_

💫 *_MASBOOQ NE QA’DAH E AKHIRAH MEIN IMAM KE SATH DUROOD SHARIF PADH LIYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Masbooq ne imam ke pichhe qa’dah e akhirah mein attahiyyaat ke ba’d durood sharif padha to ba’d mein is par sajda e sahw wajib nahin hai.*_
📖 _(Kabeeri J 1, pg. 441)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 93 94.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites