💫 *_MASBOOQ SAJDA E SAHW KE DUSRE SAJDE MEIN SHAREEK HUA._*
💎 _Mas’ala:
*Imam par sajda e sahw wajib tha is liye usne sajda e sahw kiya, jab dusre sajde mein tha us waqt kisi ne aakar Imam ki iqteda ki ya’ni sajde mein imam ke sath shaamil hua to pehle sajde ki qaza us masbooq ke zimme nahin.*_
📖 _(Aalamgiri pg. 66, J 1)_
💫 *_MASBOOQ SAHW KE SALAM KO AAKHRI SALAM SAMAJH KAR KHADA HO GAYA._*💫
💎 _Mas’ala:
*Imam par sajda e sahw tha us ne sajda e sahw ke liye salam phera masbooq ne isko namaz ka aakhri salam samajh liya aur apni chhuti hui namaz ada karne ke liye khada ho gaya aur Imam ke sath sajda e sahw nahin kiya to masbooq se sajda e sahw saaqit nahin hoga, isko akhir mein sajda e sahw karna zaruri hai.*_
📖 _(Aalamgiri J 1, pg. 66)_
💫 *_IMAM NE SALAM PHER KAR KUCHH DER BA’D SAJDA E SAHW KIYA TO MASBOOQ KYA KARE._*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi Imam par sajda e sahw wajib tha aur use yaad na raha aur dono taraf aakhri salam pher diya aur masbooq apni chhuti hui namaz padhne ke liye khada ho gaya itne mein imam ko yaad aaya ki mujh par sajda e sahw karna wajib tha lihaza fauran sajda e sahw mein chala gaya to is soorat mein masbooq ko chahiye ki agar isne is rak’at ka abhi sajda nahin kiya hai to laut aaye aur imam ke sath sajda e sahw kare,*_
✨ _*phir jab imam aakhri salam phere to ye apni baqiya namaz puri kare aur is darmiyan mein masbooq ne jo qayaam, qira’at aur ruku ada kiya hai inka shumaar nahin kiya jayega, sab ka la’dam qarar payenge aur agar laut kar imam ke sath sajda e sahw nahin kiya jab bhi iski namaz durust ho jayegi magar is soorat mein is par akhir mein sajda e sahw karna wajib hoga albatta masbooq ne agar is raka’t ka sajda kar liya hai to na laute agar lautega to iski namaz faasid ho jayegi.*_
_(Aalamgiri J 1, pg. 66)_
💫 *_MASBOOQ NE IMAM KE SATH SAJDA KIYA PHIR US KO KHUD SAHW HO GAYA_*
💎 _Mas’ala:
*Masbooq ne Imam ke sath sajda e sahw kiya phir apni chhuti hui namaz jab padh raha tha ismein koi sahw ho gaya to dobara akhir mein is par sajda e sahw karna wajib hai.*_
📖 _(Mabsoot Lilsarkhasi J 1, pg. 229)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 92 93.*

No comments:
Post a Comment