💫 *_MASBOOQ SAHW KA SALAM IMAM KE SATH NA PHERE._*💫
💎 _Mas’ala:
*Jab imam sajda e sahw ke liye salam phere to masbooq salam na phere sirf sajda e sahw imam ke sath kare, agar jaan bujh kar salam pherega to namaz jati rahegi, aur agar bhool kar phera aur iska salam bila waqfa imam ke sath pura hua to is par dobara sajda e sahw nahin aur agar kuchh der karke phera to khade hone ke ba’d apni namaz puri karke dobara sajda e sahw kare.*_
📖 _(Raddul Muhtar; Bahaaar E Shari’at pg. 55 J 4)_
💫 *_MASBOOQ NE IMAM KE SATH DONO TARAF SALAM PHER DIYA PHIR YAAD AAYA._*
💎 _Mas’ala:
*Kisi masbooq ne bhool kar imam ke sath dono taraf salam pher diya, phir kisi ke yaad dilane par fauran khada ho gaya to iski namaz faasid ho gayi, aur agar kuchh der thehar kar ya khud yaad aane par khada hua to iski namaz ho jayegi, magar is par sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Shaami pg.533, J 1)_
💫 *_MASBOOQ KO APNI CHHUTI HUI RAK’ATON MEIN SAHW HO GAYA._*💫
💎 _Mas’ala:
*Masbooq ne apni chhuti hui rak’aton mein bhool kar koi wajib tark kar diya to is par sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Shaami pg. 557, J 1)_
💫 *_MASBOOQ NE MAGHRIB KI 2 CHHUTI HUI RAK’ATON KE DARMIYAN QA’DAH NAHIN KIYA._*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi ko Maghrib ki namaz Imam ke sath ek rak’at mili aur 2 rak’atein chhut gayi to Imam ke salam pherne ke ba’d apni 2 rak’atein is tarah puri kare ki dono rak’aton ke darmiyan qa’dah e ula nahin kiya, to is par sajda e sahw wajib hai. aur agar sajda e sahw nahin kiya to namaz dobara padhni zaruri hai.*_
📖 _(Shaami pg. 695, J 1)_
💫 *_MASBOOQ IMAM KE SAJDA E SAHW KARNE KE BA’D JAMA’AT MEIN SHAAMIL HUA._*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi Imam par sajda e sahw wajib tha usne qa’dah e akhirah mein sajda e sahw kar liya iske ba’d attahiyyaat padhne ki haalat mein kisi masbooq ne Imam ki iqteda ki ye iqteda durust aur sahi hai aur ba’d mein iske zimme sajda e sahw nahin.*_
📖 _(Raddul Muhtar bar hashiya Shaami pg. 526, J 1)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 91 92.*

No comments:
Post a Comment