💫 *_MASBOOQ AUR LAAHIQ PAR SAJDA E SAHW KE MASAIL_*💫
📌 *MUQTADIYON KE QISMEIN*
✨ _*Imam ke pichhe namaz padhne wale kayi tarah ke hote hain, muqtadiyon ki pehli qism un logon ki hai jo imam ke sath pehli rak’at se aakhir tak jama’at mein shareek rahe aise muqtadiyon ko “Mudrik” kehte hain. Dusri qism un logon ki hai jo pehli rak’at ke ruku ke ba’d imam ke sath jama’at mein aakar shaamil huye aur aakhir tak rahe aise muqtadiyon ko “Masbooq” kehte hain.*_
⚡ _*Teesri qism un logon ki hai jo awwal aur aakhir imam ke sath namaz mein shareek hon aur bich ki ek do rak’at kisi uzr se chhut gayi maslan kisi ka wazu tut gaya aur wazu karne mein isko itni der ho gayi ke imam ne ek do rak’at padh li, phir aakar wo imam ke sath baqiya namaz mein shareek hua aise muqtadi ko “Laahiq” kehte hain.*_
✨ _*Chauthi qism aise muqtadi ki hai jo ek rak’at ke ba’d imam ke sath namaz mein shaamil huye phir wazu tutne ki wajah se wo wazu karne chala gaya, jab wazu karke aaya to imam ek do rak’at padh chuka tha, phir usne baqi namaz imam ke sath padhi, aise muqtadi ko “Masbooq e Laahiq” kehte hain.*_
⚡ _*Masbooq, Laahiq aur Mudrik ya’ni imam ke sath puri namaz mein shareek rehne wale aur awwal ta aakhir jama’at mein shareek na rehne wale muqtadiyon ke darmiyaan sajda e sahw ke masail mein thoda bahut farq hai isliye isko alag bayaan kar diya gaya hai.*_
💫 *_MASBOOQ IMAM KE SATH SAJDA E SAHW KARE._*
💎 _Mas’ala:
*Masbooq imam ke sath sajda e sahw kare khwah imam ko sahw iske namaz mein shareek hone se pehle ya ba’d mein hua ho, aur agar imam ke sath sajda e sahw nahin kiya aur apni chhuti hui namaz padhne khada ho gaya to aakhir mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi, aur agar is masbooq se iski chhuti hui namaz mein sahw ho gaya to aakhir mein jo sajda e sahw karega wo donon ke liye kaafi hai.*_
📖 _(Aalamgiri pg. 87, J 1; Bahaar E Shari’at; Raddul Muhtar)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 90.*

No comments:
Post a Comment