*【POST 74】*

💫 *_SALATUT- TASBEEH KA TAREEQA_*💫

📖 _*Tirmizi Sharif mein Hazrat e Sayyiduna Abdullah bin Mubarak Radi Allahu Ta’ala Anhu ki riwayat mein Salatut-tasbeeh ka jo tareeqa mazkur hai wo ye hai ki sab se pehle 4 rak’at Salatut-tasbeeh ki niyat karke Takbir E Tahreema
“Allahu Akbar” keh kar hasbe dastoor hath bandh le phir “Sub’hanaka Allahumma wa bihamdika wa tabaarakas-muka wa ta’ala jadduka wala ilaha ghairuka” padhe phir ye tasbeeh “Sub’han Allahi walhamdulillahi wala ilaha
illal-lahu wallahu akbar” 15 bar padhe,*_

✨ _*ISKE ba’d auzubillah phir bismillah aur Alhamd sharif aur koi surah padh kar 10 bar yahi tasbeeh padhe phir ruku kare, ruku mein “Sub’hana Rabbiyal Azeem” 3 martaba padhne ke ba’d 10 bar, phir ruku se sar utha kar jab khada ho 10 bar,phir sajde mein jakar “Sub’hana Rabbiyal A’la” ke ba’d 10 bar, phir sajde se sar utha kar jab baithe us waqt 10 bar, phir dusra sajda kare ismein bhi 10 bar yahi tasbeeh padhe, yunhi 4 ra’kat padhe, is tarah har rak’at mein mein 75 aur charon mein 300 tasbeeh huyi.*_

💎 _Mas’ala:
*Pehli rak’at puri karne ke ba’d jab dusri rak’at ke liye khada ho to pehle 15 bar isi tasbeeh ko padhe phir bismillah ke ba’d alhamd waghaira hasbe saabiq padh kar dusri rak’at puri kar ke qa’dah e ula kare, qa’dah e ula mein attahiyyaat aur durood sharif waghaira padhe aur salam phere baghair teesri rak’at ke liye khada ho jaye, ab teesri rak’at mein pehle sana padhe, phir tasbeeh 15 bar padhe iske ba’d auzubillah, bismillah waghaira hasbe saabiq ma’ tasbeeh padh kar 4 rak’at puri karke salam phere.*_

💫 *_SALATUT- TASBEEH MEIN SAHW HUA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ko salatut-tasbeeh mein sajda e sahw wajib hua to sahw ke dono sajdon mein ye tasbeeh na padhi jayegi.*_
📖 _(Raddul Muhtar; Bahaar E Shari’at pg.28, J 4)_

💫 *_KISI JAGAH TASBEEH BHOOL GAYA YA KAM PADH DI TO KYA KARE._*💫

💎 _Mas’ala: *Agar kisi jagah tasbeeh padhna bhool gaya, ya 10 se kam padhi to iske ba’d dusri jagah padh le ki tasbeeh ki ta’dad puri ho jaye aur behtar ye hai ki jab is ke ba’d tasbeeh padhne ka dusra mauqa aaye wahin padh le jaise qayaam ki tasbeeh ruku mein padhe magar ruku ki tasbeeh qauma mein na padhe sajde mein padhe kyunki qauma ki miqdar thodi hoti hai yunhi pehle sajda mein bhoola to jalsa mein nahin balki dusre sajda mein kahe bahr soorat is par sajda e sahw nahin.*_
📖 _(Mustafaad az Aalamgiri pg. 65, J 1)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 89*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites