*【POST 73】*

💫 *_SALATUT-TASBEEH_*💫

📌 *SALATUT-TASBEEH KI FAZILAT*

⚡ _*Is namaz ko salatut-tasbeeh isliye kehte hain ki ismein har rak’at mein 75 bar tasbeeh padhi jati hai, is namaz mein be-inteha sawab hai, Ulama e Kiram Ridwanullahi Ta’ala Alaihim farmate hain ki is namaz ki azmat o buzurgi sunne ke ba’d koi deendar musalman isko chhod hi nahin sakta, agar koi isko nahin padhta to wo deen ke muamle mein bahut susti aur kaahili karne wala hoga.*_

📖 _Hadith:
*Hadith Sharif mein hai ki Huzur E Akram Sayyid E Aalam SallAllahu Ta’ala Alaihi wa Sallam ne apne chacha Hazrat e Abbas Radi Allahu Ta’ala Anhu se ek roz irshad farmaya ki*_

✨ *“Aye Chacha kya main aap ko kuchh ata na karu?*

⚡ *Kya main aap ko bakhshish na karu?*

✨ *Kya main aap ko kuchh na du?*

⚡ *Kya aap ke sath ehsaan na karu? ”*

📍 *ISKE BA’D FARMAYA KI*

✨ _*“ 10 khaslatein aisi hain ki jab aap inko karein to Allah Ta’ala aap ke agle pichhle chhote bade,naye puraane poshida zaahir sab gunah bakhsh dega, bhool kar kiya ho ya jaan-bujh kar kiya ho.”*_

⚡ _*Is irshad ke ba’d Huzur E Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa sallam ne “Salatut-tasbeeh” padhne ka tareeqa bayaan farmaya.*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 88*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites