💫 *_RUKU O SUJOOD MEIN SAHW_*💫
📌 *_RUKU KI HAQEEQAT_*
🔮 *_Ruku kam az kam itne jhukne ko kehte hain ki haath badhaye to ghutne tak pahunch jaye aur pura ruku ye hai ki peeth bilkul seedhi bichha de._*
💫 *_RUKU KA TAREEQA:_*💫
✨ *_Surah milane ke ba’d “ALLAHU Akbar” kehte huye fauran ruku mein jaye, ruku karne ka sunnat tareeqa ye hai ki donon ghutnon ko donon hathon se is tarah pakdein ki hatheliyaan ghutnon par jami rahein aur ungliyaan ek dusre se alag alag khoob phaili hui hon, sab ungliyon ko ek jagah mila kar rakhna ya 4 ungliyon ko ek taraf aur anguthe ko dusri taraf rakhna na chahiye ki ye sunnat ke khilaaf hai,_*
⚡ *_Aur aurat ruku mein thoda jhuke, ya’ni sirf is qadar ki hath ghutnon tak pahunch jayein, mardon ki tarah peeth khoob seedhi karke bichhi na rakhe aur ghutnon par zor na de balki mahaz haath rakh de aur haathon ki ungliyaan mili hui rakhe aur paun jhuke huye rakhe. Mardon ki tarah khoob seedhe na kar de._*
✨ *_Aur ruku mein jate waqt bhi ye khayal rakhein ki “ALLAHU Akbar” ki “alif” jab kehna shuru karein to usi waqt se sar ko jhukana shuru kar dein. “Akbar” ki “ra” jab khatm ho to purey taur par ruku mein jhuk jayein , ba’az log pehle ruku mein chale jate hain, phir “ALLAHU Akbar ” kehte hain yunhi ba’az log “ALLAHU Akbar” khade khade keh lene ke ba’d ruku mein jate hain ye donon tareeqe galat hain, is aadat ko badalni chahiye._*
💎 _Mas’ala: *Jis ki peeth mein itna kubdapan hai ki hadd e ruku ko pahunch gaya hai aise shakhs ke liye hukm ye hai ki ruku ke liye sar se ishara kare iske liye itna hi kaafi hai.*_
📖 _(Aalamgiri)_
💎 _Mas’ala: *Agar koi shakhs baith kar namaz padhe to iske liye pura ruku karne ka mo’tadil tareeqa ye hai ki peshaani jhuk kar ghutnon ke muqabil aa jaye is tarah ruku karne ke liye surin uthane ki hajat nahin aur sar ko itna jhukana ki zameen ke qareeb ho jaye aur peeche se surin uth jaye abas aur beja hai jo na-pasandidah aur makruh e tanzihi hai.*_
📚 *(Fatawa e Razaviyya J 3, pg. 51)*
💎 _Mas’ala: *Namaz ki har rak’at mein ruku karna farz hai aur ek se zyada ruku na karna wajib hai.*_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 48 49.*

No comments:
Post a Comment