💫 *_RUKU KI TAKBIR BHOOL GAYA YA LAFZ BADAL DIYA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Farz, witr, sunnat aur nafl ki har rak’at mein ruku mein jate waqt “ALLAHU Akbar” kehna aur ruku se sar uthate waqt “samiALLAHU liman hameedah” kehna sunnat hai.*_
💎 _Mas’ala:
*Agar koi shakhs ruku mein jate huye “ALLAHU Akbar” kehna bhool gaya ya bajaye “ALLAHU Akbar” ke “Sub’han ALLAH” ya “samiALLAHU liman hameedah” wagairah keh diya yunhi ruku se uthte waqt “samiALLAHU liman hameedah” kehna bhool gaya ya is ke bajaye “ALLAHU Akbar” ya “Sub’han ALLAH” keh diya to sajda e sahw wajib nahin, namaz ho gayi.*_
📖 _(Aammah Kutub)_
💎 _Mas’ala:
*Eidain ki namaz mein dusri rak’at ke ruku mein jate waqt jo takbir kahi jati hai wo wajib hai lihaza agar ye takbir bhool gaya to sajda e sahw wajib hai magar zyada hujum ki wajah se sajda e sahw nahin kiya to bhi namaz ho gayi kyunki bahut hujum ke waqt sajda e sahw karne ki wajah se namaz mein afra tafri ho jaane ka andesha hai, is liye sajda e sahw saaqit ho jata hai.*_
💫 *_RUKU SE PEHLE KHADA KUCHH SOCHNE LAGA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Surah Fatiha aur surah padh lene ke ba’d fauran ruku wajib hai, agar koi shakhs surah padh lene ke ba’d itni der khaamosh sochta raha jitni der mein 3 bar “Sub’han ALLAH” keh leta to is par sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 710)_
💫 *_RUKU MEIN EK TASBEEH SE KAM PADHA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Ruku mein kam se kam itni der theharna ki har azu apni jagah qaraar pa jaye aur ek bar “Sub’han ALLAH” kaha ja sake wajib hai, agar kisi ne bhool kar is ko tark kar diya ya’ni “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar ruku mein na thehra to is par sajda e sahw wajib hai aur qasdan aisa kiya to namaz dobara padhni zaruri hai.*_
📖 _(Tahtawi pg. 166)_
💫 *_RUKU KI TASBEEH MEIN BHOOL_*💫
💎 _Mas’ala:
*Ruku mein kam se kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal Azeem” kehna sunnat hai, aur 3 se zyada afzal hai magar khatm taaq adad par hona chahiye, 5, 7 ya 9 par.*_
📚 *(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 83)*
💎 _Mas’ala:
*Ruku ki tasbeehaat agar bhool gaya ya sirf ek bar ya do bar keh kar uth gaya to is par sajda e sahw nahin namaz ho gayi, magar bila uzr jaan-bujh kar aisa karna achha nahin.*_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 49 50.*

No comments:
Post a Comment