💫 *_EK RUKU KE BAJAYE DO RUKU KAR LIYE_*💫
💎 _Mas’ala:
*Namaz ki har rak’at mein ek se zyada ruku na karna wajib hai lihaza agar kisi ne bhool kar ek se zyada ruku kar liya to is par sajda e sahw wajib hai aur agar qasdan aisa kiya to namaz lautani wajib hai sajda e sahw se kaam na chalega.*_
📚 *(Bahaar E Shari’at J 3 pg. 73)*
💫 *_RUKU BHOOL GAYA AUR SAJDE MEIN CHALA GAYA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Surah padhne ke ba’d ruku bhool gaya aur sajde mein chala gaya aur dusri rak’at shuru karne se pehle yaad aaya to usi waqt fauran khada hokar ruku mein jaye iske ba’d phir dobara sajda kare aur akhir mein sajda e sahw kare namaz ho gayi, aur agar dusri rak’at se pehle yaad nahin aaya to dusri rak’at ka ruku pehli rak’at ka ruku maan liya jayega aur ye dusri rak’at pehli rak’at ho jayegi, is soorat mein bhi sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Aalamgiri J 1, pg. 67)_
✨ _Aur pehli rak’at jo bila ruku padhi hai wo baatil ho gayi kyunki farz chhut gaya, lihaza ye rak’at namaz ki rak’aton mein shumaar na hogi._
📌 *_RUKU KE BA’D KHADA SOCHTA RAHA_*
💎 _Mas’ala:
*2 Farz ya 2 wajib, ya wajib aur farz ke darmiyaan 3 tasbeeh ki miqdaar waqfa na hona wajib hai.*_
📚 *(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 74)*
✨ *_Lihaza agar koi shakhs ruku se uthne ke ba’d bhool kar 3 tasbeeh ki miqdaar khada sochta raha to is par sajda e sahw wajib hai, aur agar qasdan itni der khada raha to namaz lautaye._*
💫 *_MUQTADI KI TASBEEH PURI HONE SE PEHLE IMAM KHADA HO GAYA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Muqtadi ne abhi 3 bar “Sub’hana Rabbiyal Azeem” nahin kaha tha ki imam ne ruku se sar utha liya to muqtadi bhi sar utha le itni der tak na jhuka rahe ki imam ki mukhalifat laazim aaye, sunnat ki adayegi mein imam ki muta’be’at sunnat hai basharte ki ta’aruz na ho aur ta’aruz ho to is ko tark kar de.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at)_
💫 *_RUKU O SUJOOD MEIN AAYAT YA “BISMILLAH” PADHA_*💫
💎 _Mas’ala:-
Namaz mein qayaam ki haalat ke alawa ruku ya sajda ya qa’dah ki haalat mein Quran ki koi aayat yahaan tak ki *Bismillah* padhna jaiz nahin agar ruku ya sajda ya qa’dah mein Quran ki koi aayat padhi to *sajda e sahw wajib hai.*_
📚 *(Aalmagiri; Fatawa e Razaviyya J 3, pg. 134; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 151)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 51 52.*

No comments:
Post a Comment