💫 *_SAJDE KI HAQEEQAT_*💫
✨ _*Peshani ka zameen par jamna sajde ki haqeeqat hai aur paun ki ek ungli ka pet zameen par lagna shart hai, lihaza agar kisi ne is tarah sajda kiya ki donon paun zameen se uthe rahe ya sirf ungli ki nok zameen par lagi rahi ungli ka pet na laga to is soorat mein uski namaz hi na hogi, is mas’ale se bahut se log ghaafil hain.*_
📚 *(Durrre Mukhtar; Fatawa E Razaviyya)*
📌 *_SAJDA KA TAREEQA_*
⚡ _Ruku se khada hone ke ba’d “ALLAHU Akbar” kehte huye sajde mein jaye._
✨ _*Sajda ka sunnat tareeqa ya hai ki pehle ghutne zameen par rakhe phir hath, phir donon hathon ke bich mein sar rakhe, is taur par ki pehle naak phir peshaani aur naak ki haddi zameen par jam jaye, aur nazar naak ki taraf rahe, aur bazuon ko karwaton se aur pet ko raanon se aur raanon ko pindliyon se juda rakhe, aur donon paun ke sab ungliyon ko qible ki janib rakhe, is tarah k donon paun ki sab ungliyon ke pet qibla ru jame rahein aur hatheliyaan bichhi hon aur ungliyaan qible ki taraf hon aur aurat simat kar sajda kare, ya’ni baazu karwaton se mila de aur pet ko raan se, aur raan ko pindliyon se aur pindliyaan zameen se.*_
📖 _(Aalamgiri wagairah)_
📌 *_Aur sajde mien kam az kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal A’la” kahe._*
📖 _(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 64)_
💎 _Mas’ala:
*Sajde mein naak ka zameen par is tarah tikana wajib hai ki narm hissa haddi tak dab jaye, agar narm hissa haddi tak na daba to namaz makruh e tahreemi hui lautana wajib hai.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 72)_
💎 _Mas’ala:
*Har rak’at mein 2 sajde farz hain.?* Aur har rak’at mein 2 sajdon se zyada sajda na karna wajib hai._
📚 *(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 72; wa ammah kutub)*
✨ _Har rak’at mein 2 sajde bil-ijma’ farz hain, kuchh logon ka ye khayal hai ki pehla sajda farz hai aur dusra wajib hai ye durust nahin, ijma’ e ummat ke khilaf hai._
📌 *_Sayyiduna Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Alaihir Rahma Fatawa E Razaviyya J4, pg. 57 par farmate hain:_*
✨ _Ba-ijma’ e ummat dono sajde farz hain aslan ismein kisi Aalim ka ikhtelaaf nahin, iska munkir ijma’ e ummat ka munkir hai._
💎 _Mas’ala:
*Agar koi shakhs kisi uzr ki wajah se sajda karte waqt peshani ko zameen par nahin laga sakta hai to sirf naak par sajda kare phir bhi naak ki nok lagana kaafi nahin hai, balki naak ka narm hissa haddi tak zameen par dabna zaruri hai.*_
📚 _(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 72)_
💎 _Mas’ala: *Ghaas, rooi, qaalin aur gadde wagaira narm chiz par sajda kiya aur peshani agar khoob jam gayi ke ab dabane se na dabegi to jaiz hai warna nahin.*_
📖 _(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 3, pg. 72)_
📌 *TANBEEH:*
⚡ _Logon ko sajda karne mein is baat ka pura pura khayal rakhna chahiye ki peshani aur naak ka narm hissa haddi tak khoob achhi tarah dab jaye warna namaz makruh e tahreemi wajib ul iadah hogi. Ya’ni is tarah padhi hui namaz ko lautana wajib hai._
📚 *Masail E Sajda E Sahw 52 53 54.*

No comments:
Post a Comment