*【POST 45】*

💫 *_EK SAJDA BHOOL GAYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi rak’at ka ek sajda bhool kar chhut gaya to jab yaad aaye kar le agarche salam pherne ke ba’d yaad aaya basharte ki koi fa’el jo namaz ke munafi ho, na kiya ho aur phir uske ba’d sajda e sahw kar le namaz ho gayi.*_
📖 _(Durre Mukhtar; Bahaar E Shari’at J 3, pg.77)_

💫 *_EK HI RA’KAT MEIN 2 SAJDON SE ZYADA KIYE_*💫

💎 _Mas’ala:
*Kisi ne ek hi rak’at mein 3 ya 3 se zyada sajde bhool kar kar liye to sajda e sahw kare, namaz ho jayegi.*_
📖 _(Durre Mukhtar; Bahaar E Shari’at J 3, pg.77)_

📌 *_SAJDE MEIN TASBEEH BHOOL GAYA_*

✨ *_Sajde mein kam se kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal A’la” kehna sunnat hai, 5, 7 ya 9 bar kehna afzal hai, agar kisi ne is tasbeeh ko chhod diya ya ek do bar hi kahi to is par sajda e sahw nahi namaz ho gayi, agar qasdan chhoda to khilaaf e sunnat kiya._*

💫 *_2 SAJDON KE DARMIYAN WAQFA NA KIYA_*💫

💎 _Mas’ala:-
2 sajdon ke darmiyan ek bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar seedha hokar baithna chahiye, lihaza agar koi seedha baitha nahin aur dusra sajda kar liya to ta’deel e arkaan ada na hone ki wajah se *namaz wajib ul iadah hogi* aur agar bhool kar ittefaqiya aisa ho gaya hai to sajda e sahw kare._

📌 *TANBEEH*

⚡ *_Bahut se log ruku o sujood mein itni jaldi karte hain ki abhi seedhe khade bhi nahin huye ki sajde mein chale gaye, sajde se sar uthaya peeth seedhi bhi na hui ki jhat dusre sajde mein chale gaye, is tarah namaz ka wajib ta’deel e arkaan tark ho jata hai jis ki wajah se namaz makruh e tahreemi hoti hai, aisi namazon ka lautana wajib hai, har rukn ko itminaan se ada karne ki aadat daalni chahiye, ALLAH Ta’ala sab ko sahi taur par namaz padhne ki taufiq ata famaye, Aameen._*

📚 *Masail E Sajda E Sahw 54 55.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites