*【POST 46】*

💫 *_RUKU MEIN SAJDE KI AUR SAJDE MEIN RUKU KI TASBEEH PADHI_*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne ruku mein sajde ki tasbeeh “Sub’hana Rabbiyal A’la” aur sajde mein ruku ki tasbeeh “Sub’hana Rabbiyal Azeem” padh di to is par sajda e sahw wajib nahin, agar usi waqt yaad aa jaye to ruku ki tasbeeh ruku mein aur sajde ki tasbeeh sajde mein keh le taaki sunnat ke mutabiq ho jaye.*_
📖 _(Durre Mukhtar pg. 461, J 1)_

💎 _*Mas’ala:*
Ruku ki tasbeeh sajde mein aur sajde ki tasbeeh ruku mein qasdan padhna makruh e tanzihi hai, is se bachna chahiye. *(Durre Mukhtar pg. 461, J 1)* magar sajda e sahw wajib nahin._

💫 *_SAJDE MEIN SHAK HUA KI 2 KIYE YA EK_*💫

💎 _Mas’ala:
*Kisi ko namaz ke sajde mein shak ho jaye ki maine ek sajda kiya hai ya 2, aur kisi taraf zan e ghalib nahin to aisi haalat mein hukm ye hai ki ek sajda aur kare aur akhir mein sajda e sahw kare.*_

💎 _Mas’ala:
*Agar shak ki soorat mein ek jaanib ghalib gumaan ho to isi par amal kare ya’ni ghalib gumaan ye hai ki ek sajda kiya hai to ek aur kare aur ghalib gumaan ye hai ki 2 sajde kar liye hain to mazeed sajda karne ki zarurat nahin namaz puri kare, is soorat mein is par sajda e sahw bhi nahin hai.*_
📖 _(Durre Mukhtar, pg. 103, J 1)_

💫 *_IMAM KE PICHHE RUKU YA SAJDA CHHUT GAYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Imam ke pichhe namaz padhte huye kisi ka ruku ya sajda chhut gaya jis waqt yaad aaye to is ko ada kar ke imam ke sath ho jaye aisi soorat mein is par sajda e sahw nahin, aur agar yaad aane par na kiya to imam ke salam pherne ke ba’d ada kare phir sajda e sahw kare aur agar in dono sooraton mein se koi soorat ikhtiyaar na ki to iski namaz na hui dobara padhe.*_
📖 _(Aalamgiri pg. 66, J 1)_

💫 *_SAJDA KI JAGAH RUKU, RUKU KI JAGAH SAJDA KAR LIYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Namaz mein kisi rukn ko muqaddam ya muakh’khar kiya maslan pehle sajda kar liya ba’d mein ruku kiya to is par sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Aalamgiri pg. 66, J 1)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 55 56.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites