*【POST 47】*

💫 *_IMAM NE BHOOL KAR 3 SAJDE KAR LIYE_*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar imam bhool kar teesre sajde mein chala gaya muqtadi iski iqteda na kare, is soorat mein sirf imam par sajda e sahw hoga muqtadi is sajda e sahw mein imam ki itteba’ na karenge aur agar sab ya ba’az muqtadiyon ne imam ke sath teesra sajda kar liya to in muqtadiyon par bhi sajda e sahw wajib hai jo imam ke sath teesre sajde mein gaye, lihaza wo bhi imam ke sath sajda e sahw karenge.*_
📖 _(Durre Mukhtar pg. 439, J 1)_

💫 *_IMAM BHOOL KAR BAITH GAYA TO YAAD AANE PAR DOBARA TAKBIR KEHTE HUYE UTHE_*💫

💎 _Mas’ala:
*Imam bhool kar pehli ya teesri rak’at mein baith gaya aur muqtadiyon ne luqma diya, ya isko khud yaad aaya to chahiye ki dobara takbir kehta hua khada ho.*_
📖 _(Kabeeri pg. 313, J)_

💎 _Mas’ala:
*Agar itni der baith kar utha jitni der mein 3 bar “Sub’han ALLAH” keh leta to is par sajda e sahw wajib hai warna nahin.*_

📌 *_RUKU YA SAJDE MEIN “ATTAHIYYAAT” YA “BISMILLAH” PADHI_*

💎 _Mas’ala:
Ruku mein ya sajde mein *“attahiyyaat”* (puri ya kuchh) padhi to is par sajda e sahw wajib nahin._
📖 *(Tahtawi pg. 250)*

💎 _Mas’ala:
*Ruku ya sajde mein bajaye tasbeeh ke “Bismillahir-Rahmanir -Raheem” padh diya to sajda e sahw wajib nahin.*_
📖 _(Hidaya pg. 140, J 1)_

💫 *_QAUMA YA JALSA MEIN UJLAT KARNA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar koi shakhs ruku se uth kar qauma ki haalat mein itminaan se khada nahin hua ya sajde se uth kar jalse ki haalat mein seedha itminaan se nahin baitha to agar bhool kar aisa hua to sajda e sahw wajib hai aur agar qasdan aisa kiya ya is tarah ki aadat bana li hai to aisi namaz ka lautana zaruri hai sajda e sahw se talafi na hogi.*_

📖 _(Shaami pg. 425, J 1)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 56 57.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites