💫 *_SAJDA E SAHW MEIN SHAK_*💫
📌 *MAHAZ SHUB’HA SE SAJDA E SAHW WAJIB NAHI*
💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ko namaz ke kisi wajib ke chhut jane ka shak hua to is shak ki wajah se sajda e sahw wajib nahin hoga albatta ghalib gumaan hai ki wajib chhut gaya hai to phir akhir mein sajda e sahw kare.*_
📖 _(Shaami pg. 352, J 1)_
💫 *_SAJDA E SAHW MEIN SHAK HUA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi par sajda e sahw wajib tha lekin qa’dah e akhirah mein is ko sajda e sahw ke bare mein shak ho gaya ki sajda e sahw kiya ya nahin, to aisi haalat mein apne ghalba e zan par amal kare ,aur agar ghalib gumaan ye hai ki sajda e sahw kar liya hai to namaz puri kare sajda e sahw ki zarurat nahin, aur agar ghalib gumaan ye hai ki sajda e sahw nahin kiya to sajda e sahw kare aur agar karne na karne mein donon taraf rujhaan barabar hai to is soorat mein bhi sajda e sahw kare.*_
📖 _(Shaami pg. 529; J 1)_
💫 *_SHAK KI WAJAH SE SAJDA E SAHW KIYA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi par sajda e sahw wajib nahin tha khwam-khwah use sajda e sahw wajib hone ka shak ho gaya aur isi shak ki wajah se usne sajda e sahw kiya to fatwa is qaul par hai ki iski namaz ho gayi.*_
📖 _(Shaami pg. 560, J 1)_
💫 *_SAJDA E SAHW MEIN SAHW HO GAYA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ko sajda e sahw karne ki haalat mein sahw ho gaya aur haalat e sajde mein thodi der tak sochta raha to is par dobara sajda e sahw wajib nahin.*_
📖 _(Mabsoot J 1 pg. 242)_
💫 *_SAJDA E SAHW WAJIB NAHIN THA BHOOL KAR KAR LIYA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi imam ko sahw nahin hua tha magar bhool kar us ne sajda e sahw kar liya to imam aur un muqtadiyon ki namaz ho gayi jo shuru se imam ke sath rahe ya sajda e sahw ke salam pherne se pehle shareek huye magar un logon ki namaz nahin hogi jo sajda e sahw ka salam pherne ke ba’d imam ke sath namaz mein shareek huye, khwah ye shirkat sajde mein ho ya iske ba’d qa’dah mein ho, bahar-soorat inko namaz lautani padegi.*_
📚 *(Fatawa E Razaviyya J 3 pg. 365)*
💫 *_IMAM NE SAJDA E SAHW NAHIN KIYA TO MUQTADI SE SAAQIT HO JAYEGA_*💫
💎 _Mas’ala:
*Agar imam par sajda e sahw tha aur nahin kiya to muqtadiyon se saaqit ho jayega, agar muqtadi ko imam ka sahw ma’lum hai to wo apni namaz lautaye warna nahin.*_
📚 *(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 653)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 57 58 59.*

No comments:
Post a Comment