*【POST 49】*

💫 *_BE SALAM PHERE SAJDA E SAHW KIYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Sajda e sahw karne ke liye dahini taraf salam nahin phera, ya bhool kar bayein taraf phera, ya chehra phiraye baghair salam ke alfaaz keh kar sajda e sahw kar liya tab bhi durust hai, sajda e sahw ho gaya.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 556)_

💎 _Mas’ala:
*Agar sajda e sahw ke liye qasdan bayein taraf salam pherega to namaz lautani padegi.*_
📖 _(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 638)_

💫 *_TA’DAAD E RAK’AT MEIN SAHW_*💫

📌 *PEHLI YA TEESRI RAK’AT MEIN BAITH GAYA.*

💎 _Mas’ala:
*Koi shakhs pehli ya teesri rak’at mein bhool kar baith gaya aur 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar se kam baith kar utha to sajda e sahw wajib nahin hai aur agar 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar taakhir kar ke utha to sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Aalamgiri J 1, pg. 65)_

💫 *_FAJR KI 4 AUR ASR KI 6 RAK’AT PADH LI_*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne bhool kar Fajr ki namaz 2 rak’at ke bajaye 4 rak’at ya Asr ki namaz 4 ke bajaye 6 rak’at padh li aur qa’dah e akhirah karne ke ba’d ye zayed rak’atein padhi hain to farz ada ho gaya aur wo 2 zayed rak’atein nafl ho jayengi magar akhir mein sajda e sahw karna wajib hoga.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 700)_

💫 *_EK SHUB’HA KE IZAALA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Namaz e Fajr ke ba’d sooraj nikalne tak yun hi Asr ke ba’d sooraj doobne tak Nafl namaz makruh hai to is se ye shub’ha ho sakta hai ki Fajr aur Asr mein 2 zayed rak’atein jo nafl ho gayi hain wo makruh hongi, is ka jawab ye hai ki in dono namazon ke ba’d nafl namaz padhni us waqt makruh hai jab ki qasdan padhe agar bhool kar ya kisi majboori ke sabab padhi to makruh nahin hai.*_

📖 _(Shaami J 1, pg. 700)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 59 60.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites