💫 *_RAK’AT KI TA’DAAD MEIN SHAK HUA:_*
💎 _Mas’ala: *Agar rak’at ke shumar mein bhool ho gayi to ghalib gumaan par amal karke isi par bina kare sajda e sahw ki zarurat nahin magar ghair mahal mein itni der sochta raha jis mein ek rukn ya’ni 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar taakhir ho gayi to is taakhir ki wajah se is par sajda e sahw wajib hoga aur agar ghalib gumaan kisi taraf nahin to kam ko ikhtiyar kare maslan 3 aur 4 mein shak ho to 3 maane, 2 aur 3 mein shak ho to 2 qaraar de aur teesri chauthi rak’at par qa’dah kare kyunki teesri rak’at mein chauthi ka ehtamaal baaqi hai, phir chauthi mein qa’dah karke sajda e sahw kare phir salam phere.*_
📖 _(Durre Mukhtar pg. 705, J 1; Hidaya; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 57)_
💫 *_“ATTAHIYYAAT” KE BA’D SHAK HUA KI 3 HUYI YA 4_*💫
💎 _Mas’ala:- *Kisi ko “Attahiyyaat” padhne ke ba’d ye shak hua ki 3 rak’atein huyi ya 4 aur 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar sochta raha phir yaqeen ho gaya ki 4 ho gayi hain, to is soorat mein is par sajda e sahw wajib hai aur agar ek taraf salam pherne ke ba’d aisa hua to kuchh nahin.*_
📖 _(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 4’ pg. 75)_
💫 *_4 RAK’AT MEIN BHOOL KAR 2 RAK’AT PAR SALAM PHER DIYA._*💫
💎 _Mas’ala:
*4 rak’at wali namaz padh raha tha ye khayal karke ki 4 puri ho gayi, 2 par salam pher diya to khayal aate hi 4 puri kare aur akhir mein sajda e sahw kare, basharte ki usne koi aisa kaam na kiya ho jo namaz ke munafi hai.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at J 4, pg. 57)_
💎 _Mas’ala:
*4 rak’at wali namaz padh raha tha isko ye gumaan hua ki mai musafir hoon mujh par 2 hi rak’atein hain ya zuhar ki namaz ko juma’ ki namaz samajh kar, isha ki namaz ko taraweeh ki namaz samajh kar 2 rak’at par salam pher diya to in sab sooraton mein iski namaz gayi dobara padhe.*_
📖 _(Durre Mukhtar; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 57)_
💫 *_IMAM NE 4 WALI 3 PADHAYI._*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi imam ne 4 rak’at wali namaz bhool kar 3 rak’at padha di aur salam pher diya, iske ba’d muqtadiyon mein charcha hua ki imam ne 3 par salam pher diya hai, imam ne muqtadiyon ki guftagu sun kar baghair kisi se kuchh puchhe aur baat kiye “ALLAHU Akbar” keh kar chauthi rak’at ke liye khada ho gaya aur 4 puri karke sajda e sahw kiya aur salam phera to imam aur na bolne wale muqtadiyon ki namaz durust ho gayi,lekin jin muqtadiyon ne baat-chit kar li hai inki namaz na hui dobara padhein.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 691)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 60 61.*

No comments:
Post a Comment