💫 *_CHAUTHI MEIN “ATTAHIYYAAT” PADH KAR PAANCHWI KE LIYE KHADA HO GAYA_*💫
💎 _Mas’ala: *Imam agar chauthi rak’at mein “Attahiyyaat”padh kar paanchwi ke liye bhool kar khada ho gaya to muqtadi intezaar karein, agar panchwi ka sajda karne se pehle laut aaya to muqtadi imam ke sath ho jayein, ya’ni imam ke sath salam pherein aur sajda e sahw karein aur agar paanchwi ka sajda kar liya lauta nahin to is soorat mein muqtadi tanha salam pher dein imam ka sath dene ki zarurat nahin, aur jin muqtadiyon ne imam ke sath paanchwi ka sajda kar liya hai is mein ek aur rak’at milayein taaki 6 puri ho jaye aur akhir mein sajda e sahw karein, 4 pehli wali farz aur 2 ba’d wali nafl shumaar hongi.*_
📚 *(Kabeeri pg. 141; Aalamgiri pg. 67, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 139, J 3)*
💎 _Mas’ala:
*Agar muqtadi ne imam ko paanchwi rak’at ka sajda karne se pehle luqma diya aur imam baith gaya to sajda e sahw kare, attahiyyaat waghaira padh kar salam phere, namaz ho gayi.*_
💎 _Mas’ala:
*Agar chauthi rak’at mein qa’dah e akhirah nahin kiya tha aur paanchwi ke liye khada ho gaya to yaad aate hi laut aaye aur sajda e sahw karke namaz puri kare aur agar palta nahin paanchwi ka sajda kar liya to is soorat mein sab ki namaz faasid ho gayi, agar kisi muqtadi ne imam ka sath na diya aur tashahhud padh kar salam phera to bhi iski namaz nahin hui.*_
📖 _(Aalamgiri pg. 67, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 119, Hissa 3)_
💫 *_BHOOL KAR 5 RAK’ATEIN PADH LI._*💫
💎 _Mas’ala:
*Kisi ne 4 rak’at padh kar qa’dah e akhirah kiya phir bhool kar paanchwi ke liye khada ho gaya aur 5wi ka ruku aur sajde bhi kar liya, to is par sajda e sahw wajib hai uski 4 rak’at namaz durust ho gayi aur 5wi rak’at bekaar ho gayi.*_
📖 *(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami pg. 698)*
📚 *Masail E Sajda E Sahw 61 62*

No comments:
Post a Comment