*【POST 52】*

💫 *_BIMARI KI WAJAH SE RAK’AT KA SHUMAAR NAHIN KAR SAKTA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Jis shakhs ko bahut zyada bhoolne ki bimari hai uske liye nihayat zaruri hai ki ba-jama’at namaz padhe jab koi shakhs laiq e imamat na mile to apni yaad-daasht par padhe agar rak’aton mein shub’ha ho to kam ko iktiyaar kare, maslan ek aur do mein shub’ha ho to ek jaane, do aur teen mein shub’ha ho to do samjhe, isi tarah jahan qa’dah e akhirah ka shub’ha ho wahan wahan baithta jaye aur akhir mein sajda e sahw kare.*_
📖 _(Fatawa E Razaviyya pg. 448, J 3)_

💫 *_MUSAFIR NE BAJAYE 2 RAK’AT KE 4 RAK’AT PADHI._*

💎 _Mas’ala:
*Musafir par wajib hai ki qasr kare ya’ni 4 rak’at wali farz namaz ko 2 rak’at padhe, qasdan 4 rak’at padhega to gunahgaar hoga iske haq mein 2 hi rak’atein puri namaz hai, lihaza agar kisi musafir ne 2 rak’at qasr namaz padhne ki bajaye bhool kar 4 rak’at padh li aur dusri rak’at ka qa’dah kar liya hai to uski farz namaz durust ho gayi, lekin sajda e sahw wajib hai aur ba’d wali 2 rak’atein nafl ho jayengi, magar is soorat mein agar imam musafir hai aur muqtadi muqeem hai to muqtadi ki namaz na hogi.*_
📖 _(Shaami pg. 741, J 1)_

💎 _Mas’ala:
*Agar musafir ne qasdan 4 rak’atein padhi aur 2 rak’at par qa’dah kar liya hai to iska farz ada ho jayega aur ba’d wali 2 rak’atein nafl ho jayengi, magar qasdan wajib tark kar dene ki wajah se wo sakht gunahgaar hua, is liye tauba bhi kare, aur agar 2 rak’at par qa’dah na kiya to farz ada na hua, iski ye namaz nafl ho gayi farz ko dobara padhe.*_
📖 _(Hidaya; Aalamgiri; Durre Mukhtar waghaira ba-hawala Bahaar E Shari’at pg. 77, J 4)_

💫 *_MUSAFIR NE SAJDA E SAHW KAR KE IQAMAT KI NIYAT KI._*💫

💎 _Mas’ala:
*Musafir ne qasr ki wajah se 2 rak’at ki niyat ki, namaz mein sahw ho gaya is liye isne sajda e sahw bhi kar liya phir salam pherne se pehle iqamat ki niyat kar li to ab is soorat mein isko 4 rak’at padhni zaruri hai aur akhir mein dobara sajda e sahw bhi karna wajib hai.*_
📖 _(Aalamgiri J 1, pg. 67)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 62 63.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites