💫 *_MUSAFIR IMAM KE SATH MUQEEM SAJDA E SAHW KARE._*💫
💎 _Mas’ala:
*Imam musafir hai, isko namaz mein sahw hua, aur iske pichhe muqeem muqtadi bhi hain to jab 2 rak’at ke ba’d imam sajda e sahw karega to muqeem muqtadi baghair salam phere imam ke sath sajda e sahw karenge, iske ba’d muqeem jab apni namaz puri karne laga to us mein sahw hua to phir akhir mein dobara sajda e sahw kare.*_
📖 _(Aalamgiri; Shaami; Fatawa e Razaviyya waghaira)_
💎 _Mas’ala:
*Agar muqeem ne imam ke sath sajda e sahw nahin kiya to apni namaz puri karne ke ba’d akhir mein sajda e sahw kare warna namaz lautani padegi,yun hi agar muqeem ne musafir imam ke sath qasdan salam pher kar sajda e sahw kiya to namaz lautani padegi.*_
📖 _(Aalamgiri; Shaami aur Fatawa e Razaviyya waghaira)_
💫 *_PAANCHWI YA CHHATI MEIN KISI NE IQTEDA KI._*💫
💎 _Mas’ala;
*Aakhri qa’dah karke imam bhoole se paanchwi ya chhati ke liye khada ho gaya aur isi haalat mein kisi ne imam ki iqteda ki to iqteda karne wale ki farz namaz durust nahin hogi kyunki ba’d wali rak’atein imam ki nafl hongi.*_
📖 _(Mustafad min al Hindiyah pg. 68 J 1)_
💫 *_YAQEEN HAI KI 4 RAK’AT PADHI SALAM KE BA’D KISI NE SHAK DILAYA._*
💎 _Mas’ala:
*Kisi ne apne yaqeen ke sath 4 rak’at padh kar salam phera, salam ke ba’d ek do logon ne kaha ki tum ne 3 hi rak’at par salam phera hai, to aisi soorat mein wo apne yaqeen ke mutabiq amal kare iski namaz ho gayi, jabki khabar dene wale aadil (shar’an qaabil e aitemaad) na hon, aur agar khabar dene wala aadil shakhs hai to namaz lautaye agarche iske khayal mein ye khabar galat hai.*_
📖 _(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 57)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 63 64.*

No comments:
Post a Comment