*【POST 54】*

💫 *_BAALIGH HONE KE BA’D PEHLI BAR TA’DAAD E RAK’AT MEIN SHAK HUA._*

💎 _Mas’ala:
*Jis ko rak’at ke shumaar karne mein shak hua ki 3 hui ya 4, aur baaligh hone ke ba’d ye pehla waqeya hai to salam pher kar namaz tod de ya ghaalib gumaan ke mutabiq amal karke namaz puri kare magar bahr soorat is namaz ko dobara padhe sajda e sahw se kaam na chalega.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at J 4, pg.57)_

💫 *_IMAM KO RAK’AT MEIN SHAK HUA AUR KANKHIYON SE DEKHA._*💫

💎 _Mas’ala:-
*Imam ne 2 rak’at namaz padhayi, dusre sajde se uth’te waqt usko shak ho gaya ki ek rak’at hui ya 2, is wajah se usne apne shak ko dur karne ke liye bila munh phere gosha e chashm ya’ni kankhiyon se muqtadiyon ki taraf dekha ki agar wo log uthein to uthu aur baithein to mai bhi baith jaun to is mein koi harj nahin hai, na hi is par sajda e sahw wajib hai, albatta bila kisi garz e sahih ke kankhiyon se idhar-udhar dekhna makruh e tanzihi hai.*_
📖 _(Aalamgiri J 1, pg. 66)_

💫 *_4 RAK’ATEIN SUNNAT E MOKKADAH MEIN 2 PAR SALAM PHER DIYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*4 rak’at sunnat e mokkadah ki niyat ki aur 2 rak’at par bhool kar salam pher diya to yaad aate hi khada ho jaye aur 4 puri karke qa’dah e akhirah mein sajda e sahw kare.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 630)_

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne Zuhar ki pehli 4 rak’at sunnat e mokkadah ki niyat ki aur 2 rak’at padhne se pehle jama’at khadi ho gayi to ise chahiye ki 2 rak’at puri karke salam pher de aur jama’at mein shareek ho jaye phir farz ke ba’d ki sunnat e mokkadah 2 rak’at ada karke 4 rak’at padhe, pehli wali 2 rak’at nafl ho gayi.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 630)_

✨ _*Ismein Ulama e kiram ka ikhtelaf hai, ba’az hazraat ne farmaya ki Juma’ aur Zuhar se pehle wali 4 rak’at sunnat e mokkadah shuru ki aur Khutba e Juma’ ke liye Imam khada ho gaya ya Zuhar ki jama’at qayem ho gayi to 4 rak’at puri kare, 2 par salam na phere jab ki khutba aur jama’at ke faut hone ka andesha na ho.*_

📌 *Isi ko Ala Hazrat Alaihir Rahma ne Fatawa Razaviyya J 3, pg. 612 par tarjeeh di hai magar dono qaulon ko sahih aur unke dalail ko qawi bataya hai.*

📚 *Farmate hain:*
📖 _(Tarjuma): *Ye mas’ala is qabeel se hai ki is ke dono qaulon mein se insaan jis par chahe amal kare to koi aiteraaz nahin hai aur main khud dusre qaul ki taraf apne aap ko mayel pata hoon.*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 65 66.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites