*【POST 58】*

   💫 *_IMAM QA’DAH BHOOL KAR KHADA HO RAHA THA KI MUQTADI NE LUQMA DIYA._*💫

💎 _Mas’ala: *Imam qa’dah e ula bhool gaya aur khada hone laga abhi pura khada na hua tha balki baithne ki haalat ke qareeb tha ya’ni badan ke niche ka hissa seedha na hone paya tha ki kisi muqtadi ne luqma diya ya imam ko khud yaad aa gaya aur baith gaya to is soorat mein is par sajda e sahw wajib nahin imam aur muqtadi sab ki namaz ho gayi.*_

💎 _Mas’ala: *Aur agar pura khada na hua tha balki seedha khada hone ke qareeb tha ya’ni badan ka aadha nichla hissa seedha ho gaya tha magar peeth mein abhi kham (tedhapan) baqi tha ki is haalat mein muqtadi ne luqma diya ya az khud palat aaya to is par sajda e sahw wajib hai aakhir mein sajda e sahw kare namaz ho gayi, aur luqma dene wale ki bhi namaz ho gayi.*_

💎 _Mas’ala:
*Agar pura khada ho gaya ki peeth bhi seedhi ho gayi to ab palatne ki zarurat nahin balki hukm ye hai ki baghair palte huye namaz puri kare akhir mein sajda e sahw kare aur agar is soorat mein qa’dah ki taraf paltega to gunahgaar hoga seedha khada hokar yaad aane par khud ba khud baghair kisi ke luqma diye palta to hukm ye hai ki fauran khada ho jaye aur aakhir mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi aur agar fauran khada nahi hua qa’dah e ula pura karke utha aur namaz puri ki to is soorat mein bhi is us par sajda e sahw wajib hai, agar sajda e sahw kar liya to namaz ho gayi, nahin kiya to namaz dobara padhni padegi.*_

💎 _Mas’ala: *Imam qa’dah e ula bhool kar seedha khada ho gaya ya seedha khada hone ke liye qareeb tha aur muqtadi ne luqma diya aur muqtadi ke luqma dene ki wajah se imam qa’dah e ula mein lauta to is soorat mein imam aur tamam muqtadiyon ki namaz gayi, is namaz ko dobara padhni laazim hai sajda e sahw se kaam na chalega (aksar log is mas’ale se ghaafil hain), agar imam ne muqtadi ka luqma qubool nahin kiya ya’ni qa’dah e ula ki taraf nahin palta namaz puri karke akhir mein sajda e sahw kar liya to imam aur dusre tamam muqtadiyon ki namaz ho gayi magar luqma dene wale ki namaz na huyi usko dobara padhni hogi.*_
📖 _(Fatawa E Razaviyya pg. 632, J 3; Fatawa E Faiz E Rasool pg. 387, J 1)_

💫 *_IMAM BAITHNE KE QAREEB THA KI MUQTADI NE LUQMA DIYA_*💫

💎 _Mas’ala: *Imam qa’dah e ula bhool gaya aur khada hone laga magar abhi seedha khada na hua tha balki baithne ke qareeb tha isi haalat mein muqtadi ne luqma diya magar Imam luqma dene ke bawajud baitha nahin khada ho gaya to is soorat mein imam ko baith jana zaruri hai agar baith gaya to namaz ho gayi sajda e sahw ki zarurat nahin aur luqma dene ke ba’d na baitha to imam ne na baith kar wajib ko qasdan tark kiya, is liye is soorat mein namaz dobara padhni wajib hai sajda e sahw se kaam na chalega.*_
📖 _(Aalamgiri pg. 118)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 69 70.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites