*【POST 59】*

💫 *_QA’DAH E ULA BHOOL GAYA QA’DAH E AKHIRAH MEIN YAAD AAYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne bhool kar qa’dah e ula chhod diya qa’dah e akhirah mein salam se pehle yaad aaya to usi waqt sajda e sahw kar le phir attahiyyaat aur durood sharif padh kar salam phere namaz ho gayi.*_
📖 _(Durre Mukhtar pg. 424, J 1)_

💫 *_WITR KI NAMAZ MEIN QA’DAH E ULA BHOOL GAYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Witr ki namaz misl e Maghrib ki namaz ke hai ya’ni witr ki namaz ka bhi qa’dah e ula wajib hai, lihaza agar kisi ne witr ki namaz mein qa’dah e ula bhool kar chhod diya to is par sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Shaami pg. 623, J 1)_

💫 *_NAFL MEIN QA’DAH E ULA BHOOL GAYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Sunnat e ghair mokkadah aur 4 rak’at wali nafl namaz mein agar qa’dah e ula bhool gaya aur 4 rak’atein padh li to sahih mazhab par namaz ho gayi magar aakhir mein sajda e sahw karna wajib hai.*_

⚡ _*(Nafl ki har 2 rak’at mustaqil namaz hone ke bawajud Fuqaha e Kiraam ne bataure istih’saan in chaaron ko ek namaz ke hukm mein shumaar karte huye qa’dah e ula bhool kar chhut jane par sajda e sahw kar lene se namaz ko jaiz bataya hai.)*_
📖 _(Maraqil Falaah pg. 228; Bahaar E Shari’at pg. 15; J 4)_

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne 4 rak’at wali nafl mein bhool kar qa’dah e ula tark kar diya aur 4 padh li aur aakhir mein sajda e sahw nahin kiya to ye chaaron 2 hi ke qayem maqam gini jayengi.*_
📖 _(Fatawa Razaviyya pg. 520, J 3)_

💫 *_QA’DAH E ULA MEIN “ATTAHIYYAAT” BHOOL GAYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Qa’dah e ula aur qa’dah e akhirah dono mein puri attahiyyaat padhni wajib hai, isi tarah jitne qa’de karne pade sab mein pura tashah’hud padhna wajib hai aur agar koi ek lafz bhi chhut gaya to wajib ka tark hoga, lihaza agar bhool kar attahiyyaat ya iska kuchh hissa ya ek lafz bhi chhut gaya to sajda e sahw wajib hai aur agar jaan bujh kar chhoda to namaz lautani wajib hai sajda e sahw se kaam na chalega namaz khwah farz ho ya wajib, sunnat ho ya nafl ho.*_
📖 _(Aammah Kutub)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 70 71.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites