💫 *_ATTAHIYYAAT KI JAGAH FATIHA YA KOI SURAH PADH DI._*💫
💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne attahiyyaat padhne ke bajaye bhool kar surah Fatiha ya aur koi surah padh di aur usi waqt qa’dah mein hi yaad aa gaya to fauran yaad aate hi attahiyyaat padh kar teesri rak’at ke liye khada ho, ya khada ho gaya phir yaad aaya to Attahiyyaat padhne ke liye laute nahin, isi tarah namaz puri kar le aur in dono sooraton mein is par sajda e sahw wajib hai, akhir mein sajda e sahw kare namaz ho gayi.*_
💎 _Mas’ala:
*Agar qa’dah e ula mein pehle attahiyyaat padhi phir bhool kar iske ba’d surah Fatiha ya aur koi surah padh di to is par sajda e sahw wajib hai aur agar Qa’dah e akhirah mein aisa hua to sajda e sahw wajib nahin.*_
📖 _(Tahtawi pg. 250)_
💫 *_ATTAHIYYAAT QA’DAH E ULA MEIN 2 BAR PADHI_*💫
💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne qa’dah e ula mein 2 bar ya zyada attahiyyaat padhi to is par sajda e sahw wajib hai.*_
📖 _(Aalamgiri pg. 66, J 1)_
💫 *_MUQTADI ATTAHIYYAAT BHOOL GAYA._*💫
💎 _Mas’ala:
*Namaz ke pehle qa’de mein imam attahiyyaat padh kar khada ho gaya aur koi muqtadi attahiyyaat padhna bhool gaya aur imam ke sath wo bhi khada ho gaya to yaad aate hi baith jaye aur attahiyyaat padh kar imam ke sath mil jaye agarche rak’at chhut jaye.*_
📖 _(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at pg. 138, J 3)_
📌 *_TANBEEH_*
💎 _Mas’ala:
*Attahiyyaat padhne ki wajah se jo rak’at chhut gayi hai isko imam ke salam pherne ke ba’d padhe, namaz ho jayegi sajda e sahw ki zarurat nahin, aur agar tashah’hud nahin padha to aur imam ki mutabe’at karke namaz puri kar li to namaz ko lautana wajib hai kyunki yaad aane ke ba’d qasdan wajib ko chhod diya hai.*_
💫 *_QA’DAH E ULA MEIN IMAM KHADA HO GAYA AUR MUQTADI KI ATTAHIYYAAT BAQI HAI._*💫
💎 _Mas’ala:
*Qa’dah e ula mein imam tashah’hud padh kar khada ho gaya aur muqtadi ne abhi attahiyyaat puri nahin ki hai to muqtadi ko wajib hai ki attahiyyaat puri padh kar khada ho.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 77)_
📚 *Masail E Sajda E Sahw 71 72 73.*

No comments:
Post a Comment