*【POST 61】*

💫 *_QA’DAH E ULA MEIN ATTAHIYYAAT KE BA’D DUROOD SHARIF PADH LIYA._*💫

💎 _*Mas’ala:-*
Farz, wajib aur sunnat e mokkadah namazon ke pehle qa’dah mein attahiyyaat ke ba’d bhool kar durood sharif padh liya, ya sirf *“Allahumma Salli ‘ala
Muhammad”* ya *“Allahumma Salli ‘ala sayyadina”* tak padha ki yaad aa gaya aur fauran teesri rak’at ke liye khada ho gaya to is par sajda e sahw wajib hai._
📖 _*(Durre Mukhtar J 1, pg. 478; Bahaar E Shari’at J 3, pg. 77)*_

⚡ _*Sajda e sahw is liye waijb nahin hua ki is ne durood sharif padha balki is liye ki qa’dah e ula mein attahiyyaat ke ba’d fauran teesri rak’at ke liye khada hona wajib tha. Is mein taakhir ho gayi aur wajib chhut gaya, is liye sajda e sahw wajib hai. Yahi Imam E Azam Radi Allahu Ta’ala Anhu ka maslak hai.*_

💎 _Mas’ala:
*Agar attahiyyaat ke ba’d sirf “Allahumma” ya “Allahumma Salli” ya “Allahumma Salli ‘ala” kaha to in sab sooraton mein sajda e sahw wajib nahin hai.*_

💫 *_QA’DAH E ULA MEIN ATTAHIYYAAT KE BA’D KHAAMOSH BAITHA RAHA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Qa’dah e ula mein attahiyyaat padh kar fauran khada nahin hua balki khaamosh baitha raha, agar ye khaamoshi ek rukn ya’ni 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdar hai to is par sajda e sahw wajib hai aur agar is se kam hai to nahin.*_
📖 _(Aalamgiri J 1, pg. 66)_

💫 *_QA’DAH E ULA MEIN MUQDATI NE "ALLAHUMMA SALLI ‘ALA MUHAMMAD” KE BA’D
LUQMA DIYA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Pehle Qa’dah mein imam ne attahiyyaat padhne ke ba’d durood sharif shuru kar diya aur koi imam se itna qareeb tha ki iske durood padhne ko sun liya. Abhi imam “Salli ‘ala” se aage nahin badha hai to muqtadi “Allahu Akbar” ya “Sub’han Allah” keh kar luqma de. Agar imam ne luqma liya aur fauran khada ho gaya to namaz ho gayi sajda e sahw ki zarurat nahin aur agar luqma qubool nahin kiya aur “Allahumma Salli ‘ala” se aage “Muhammad” kaha ya Sayyadina kaha to sabki namaz faasid ho gayi, dobara padhe, sajda e sahw se kaam nahin chalega.*_
📖 _(Fatawa Razaviyya J 3, pg. 644)_

💎 _Mas’ala:
*Agar muqtadi ko ma’lum ho gaya ki imam “Allahuma Salli ‘ala Sayyadina” ya “Allahumma Salli ‘ala Muhammad” tak padh liya hai to muqtadi ko is soorat mein luqma dena jaiz nahin hai, balki intezaar karna chahiye, agar imam ko khud yaad aa gaya aur khada ho gaya to theek hai, warna jab salam pherne lage us waqt luqma de kar bataye, agar is se pehle luqma dega to luqma dene wale ki namaz jati rahegi, aur agar imam ne luqma qubool kar liya to imam aur sab muqtadiyon ki namaz jayegi, sajda sahw se kaam nahin chalega, namaz ko lautani padegi.*_
📖 _(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 644)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 73 74*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites