*【POST 62】*

💫 *_LAFZ “ATTAHIYYAAT” KEH KAR LUQMA DIYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Kisi ne apne imam ko “Allahu Akbar” ya “Sub’han Allah” ke bajaye “attahiyyaat” keh kar luqma diya, to is se namaz mein koi kharabi nahin aayi namaz ho gayi, jab ki “Allahu Akbar” ya “Sub’han Allah” keh kar luqma dena sunnat hai, bahar-haal is se sajda e sahw wajib nahin.*_
📖 _(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 644)_

💫 *_NAFL KE QA’DAH E ULA MEIN DUROOD SHARIF PADH LIYA._*💫

💎 _Mas’ala: *4 rak’at wali nafl namaz ke pehle qa’dah mein “attahiyyaat” padhne ke ba’d durood sharif waghaira padh liya to sajda e sahw wajib nahin, balki 4 rak’at wali nafl namaz ke qa’dah e ula mein “attahiyyaat” ke ba’d durood sharif padhna mustahab hai.*_
📖 _(Durre Mukhtar J 1, pg. 95)_

💫 *_TARAWEEH MEIN QA'DAH BHOOL GAYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Taraweeh ki namaz mein 2 rak’at par baithna bhool gaya aur teesri rak’at ke liye seedha khada ho gaya to yaad aate hi qa’dah ki taraf laut aaye aur “attahiyyaat” padh kar sajda e sahw kare, phir “attahiyyaat” padh kar salam phere, aur agar lauta nahin balki teesri rak’at padh kar qa’dah mein baitha aur “attahiyyaat” padh kar sajda e sahw kiya to as’hah (saheeh tareen) mazhab par namaz na hui, is namaz ko dobara padhe, aur jitna Quran in 3 rak’aton mein padha hai isko dohraye.*_
📖 _(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 653)_

💎 _Mas’ala:
*Agar 2 rak’at padh kar nahin baitha, 4 rak’at par kar baitha, to ye 4 rak’atein 2 shumaar hongi magar sajda e sahw wajib hoga. Aur jitna Quran in charon rak’aton mein padha hai, isko dobara lautane ki zarurat nahin.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 474; Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 653)_

💫 *_QA’DAH E ULA MEIN SHAK HO GAYA._*

💎 _Mas’ala:
*Kisi ko qa’dah e ula mein shak ho gaya ki qa’dah mein baitha ki nahin, to aisi haalat mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi.*_
📖 _(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 658)_

💫 *_QA’DAH E ULA MEIN BHOOL KAR SALAM PHER DIYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne namaz ke pehle qa’dah mein bhool kar ek taraf, ya dono taraf salam pher diya, aur fauran yaad aa gaya, aur koi aisa kaam jo namaz ke munafi hai sarzad nahin hua, to fauran teesri rak’at ke liye khada ho jaye, aur namaz puri karke aakhir mein sajda e sahw kare.*_
📖 _(Shaami J 1, pg. 694)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 74 75 76.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites