*【POST 63】*

💫 *_NAMAZ KI TEESRI AUR CHAUTHI RAK’AT_*💫

💎 _Mas’ala:
*Qa’dah e ula ke ba’d “Allahu Akbar” kehte huye teesri rak’at ke liye khada ho jaye aur hasb e dastoor naaf ke niche hath baandh le, aur “Bismillah” padh kar Alhamdu Sharif padhe. Bismillah padhne ka hukm imam aur tanha namaz padhne wale ke liye hai, jo log imam ke pichhe namaz padh rahe hain inhein Bismillah nahin padhna hai kyunki Bismillah qira’at ke taabe’ hai aur muqtadiyon par qira’at nahin, isliye inhein Bismillah padhne ki zarurat nahin.*_

💫 *_TEESRI RAK’AT MEIN KAANON TAK HATH UTHA KAR BAANDHNA_*💫

💎 _Mas’ala:
*Kisi ne bhool kar teesri rak’at mein “Allahu Akbar” kehte huye khade hokar dono hathon ko kaanon tak utha kar baandha to is soorat mein is par sajda e sahw nahin hai aur agar jaan-bujh kar aisa kiya to sunnat ke khilaaf kiya magar sajda e sahw bahar-haal nahin hai.*_

💫 *_TEESRI RAK’AT MEIN  “BISMILLAH” BHOOL GAYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Teesri rak’at mein Alhamd se pehle Bismillah padhna bhool gaya, ya qasdan nahin padha dono sooraton mein is par sajda e sahw nahin hai, magar qasdan Bismillah chhodna achha nahin hai.*_

💫 *_TEESRI RAK’AT MEIN ,SANA AUR TA’AUZ PADH LIYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Farz, Witr aur Sunnat e Mokkadah ki teesri rak’at mein khade hokar Alhamd padhne se pehle kisi ne bhool kar sana ya ta’auz padh liya to sunnat ke khilaaf kiya, namaz ho gayi, is par sajda e sahw nahin hai.*_

💎 _Mas’ala: *Sunnat e ghair mokkadah aur nafl namaz ki teesri rak’at mein jab khada ho to pehle sana yani “Sub’hanaka Allahumma” phir “Auzubillah” iske ba’d “Bismillah” padh kar “Alhamd” padhe.*_

💎 _Mas’ala:
*Agar kisi ne Sana, Auzubillah, aur Bismillah in teenon ko ya ba’az ko nafl ki teesri rak’at mein nahin padha to achha nahin kiya, magar is se sajda e sahw wajib na hoga.*_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 76 77.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites