*【POST 64】*

💫 *_NAMAZ KI CHAUTHI RAK’AT_*💫

💎 _Mas’ala:
*Har namaz ki chauthi rak’at ke shuru mein Alhamd sharif se pehle Bismillah padhna sunnat hai, is ke chhut jane se sajda e sahw laazim nahin hota.*_
📖 _(Makhuz Fatawa E Razaviyya wa Bahaar E Shari’at)_

💫 *_QA’DAH E AKHIRAH MEIN SAHW_*💫

⚡ _*Qa’dah e akhirah mein bhi usi tarah baithe jaise qa’dah e ula mein baitha tha, jis ka zikr qa’dah e ula mein ho chuka hai.*_

💎 _Mas’ala:
*Namaz ki kul rak’atein puri karne ke ba’d ya’ni 4 rak’ati namaz ki charon, 3 rak’at wali ki teenon, aur 2 rak’at wali ki donon rak’aton ko puri karne ke ba’d aakhir mein itni der tak baithna jitni der mein puri attahiyyaat ya’ni "abduhu wa rasooluhu” tak padhi ja sake farz hai, aur qa’dah e akhirah mein attahiyyaat puri padhni wajib hai, agar ek lafz bhi chhuta to sajda e sahw wajib hai.*_

💎 _Mas’ala:
*Qa’dah e akhirah mein baitha, phir ye ghumaan kiya ki ek rak’at baqi reh gayi hai, khada ho gaya phir yaad aaya ki sab rak’atein puri ho gayi hain baith gaya, aur dono bar ka baithna majmu’i taur par itna ho gaya jismein puri attahiyyaat padhi ja sake to farz ada ho gaya, is soorat mein attahiyyaat agar bhool gaya hai to sajda e sahw kare namaz ho jayegi, aur agar attahiyyaat ko qasdan chhod diya to namaz lautani padegi sajda e sahw se kaam nahin chalega.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at J 3 pg. 73)_

💫 *_QA’DAH E AKHIRAH SOTE MEIN GUZAR GAYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Pura qa’dah e akhirah sote mein guzar gaya, to bedaari ke ba’d iska i’ada kare ya’ni baqadre attahiyyaat baithe aur sajda e sahw bhi kare warna namaz hi na hogi.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at j 3, pg. 73)_

💫 *_QA’DAH E AKHIRAH MEIN NAHIN BAITHA KHADA HO GAYA._*💫

💎 _Mas’ala:
*Qa’dah e akhirah mein nahin baitha balki bhool kar khada ho gaya to jab tak is rak’at ka sajda nahin kiya hai yaad aate hi qa’dah mein laut aaye aur attahiyyaat padh kar sajda e sahw kare phir tashah’hud waghaira padh kar salam phere, aur agar sajda e sahw nahin kiya to namaz lautaye.*_
📖 _(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 74)_

📚 *Masail E Sajda E Sahw 77 78.*

No comments:

Post a Comment

Our Social Sites